bā-hosh wahī haiñ dīwāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ
bā-hosh wahī haiñ dīwāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
bā-hosh vahī haiñ dīvāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ
har vaqt unhī ke jalvoñ se īmān kā saudā karte haiñ
ham ahl-e-junūñ meñ bas yahī me.arāj-e-ibādat hai apnī
miltā hai jab un kā naqsh-e-qadam ham shukr kā sajda karte haiñ
milte haiñ nazar hosh uḌte haiñ mastī bhī barasne lagtī hai
ma.alūm nahīñ vo kaun sī mai āñkhoñ se pilāyā karte haiñ
paate haiñ vahī maqsūd-e-nazar miltī hai unheñ manzil un kī
jo un kī tamannā meñ har dam ḳhud apnī tamannā karte haiñ
hai shauq yahī mastānoñ ko hai sharm yahī dīvānoñ ko
siine se lagā kar yaad us kī us shoḳh kī puujā karte haiñ
māyūs na ho nādān na ban dil soz-e-alam se jalne de
jo chāhne vaale haiñ un ke vo aag se khelā karte haiñ
ham kis ke hue dil kis ne liyā vo kaun hai kyā hai kyā kahiye
ye raaz abhī tak khul na sakā ham kis kī tamannā karte haiñ
maiḳhāna-e-hastī meñ ham ne ye rañg nayā dekhā saaqī
jin bāda-kashoñ ko hosh nahīñ vo hosh kā da.avā karte haiñ
ye kaisī jafā.eñ hotī haiñ ye kaisī adā hai un kī 'fanā'
ham husn kā parda rakhte haiñ vo ishq kā da.avā karte haiñ
bā-hosh wahī haiñ dīwāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ
har waqt unhī ke jalwoñ se īmān kā saudā karte haiñ
hum ahl-e-junūñ meñ bas yahī mearāj-e-ibādat hai apnī
miltā hai jab un kā naqsh-e-qadam hum shukr kā sajda karte haiñ
milte haiñ nazar hosh uḌte haiñ mastī bhī barasne lagtī hai
malūm nahīñ wo kaun sī mai āñkhoñ se pilāyā karte haiñ
pate haiñ wahī maqsūd-e-nazar miltī hai unheñ manzil un kī
jo un kī tamannā meñ har dam ḳhud apnī tamannā karte haiñ
hai shauq yahī mastānoñ ko hai sharm yahī dīwānoñ ko
sine se lagā kar yaad us kī us shoḳh kī pujā karte haiñ
māyūs na ho nādān na ban dil soz-e-alam se jalne de
jo chāhne wale haiñ un ke wo aag se khelā karte haiñ
hum kis ke hue dil kis ne liyā wo kaun hai kyā hai kyā kahiye
ye raaz abhī tak khul na sakā hum kis kī tamannā karte haiñ
maiḳhāna-e-hastī meñ hum ne ye rañg nayā dekhā saqī
jin bāda-kashoñ ko hosh nahīñ wo hosh kā dawā karte haiñ
ye kaisī jafāeñ hotī haiñ ye kaisī adā hai un kī 'fanā'
hum husn kā parda rakhte haiñ wo ishq kā dawā karte haiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.