gham se mera kab haal pareshan nahin dekha
ġham se mirā kab haal pareshāñ nahīñ dekhā
kab is dil-e-sad-chāk ko giryāñ nahīñ dekhā
shikvā mire rone kā abas karte ho yaaro
kab zaḳhm-e-jigar ko mire ḳhandāñ nahīñ dekhā
itrā ke na chal kabk-e-darī baaġh meñ itnā
tuune abhī is gul ko ḳhirāmāñ nahii. dekhā
dekhā to haram meñ bhī parastish hai usī kī
is but sā koī dushman-e-īmāñ nahii. dekhā
ai sham.a shab-afroz tire husn kā jalva
kis rañg meñ kis ruup meñ pinhāñ nahīñ dekhā
kho baiThā hai dil jo ki thā ganjīna-e-isrār
maa.el sā bhī hushiyār nigahbāñ nahii. dekhā
gham se mera kab haal pareshan nahin dekha
kab is dil-e-sad-chaak ko giryan nahin dekha
shikwa mere rone ka abas karte ho yaro
kab zaKHm-e-jigar ko mere KHandan nahin dekha
itra ke na chal kabk-e-dari bagh mein itna
tune abhi is gul ko KHiraman nahi dekha
dekha to haram mein bhi parastish hai usi ki
is but sa koi dushman-e-iman nahi dekha
ai shama shab-afroz tere husn ka jalwa
kis rang mein kis rup mein pinhan nahin dekha
kho baiTha hai dil jo ki tha ganjina-e-israr
mael sa bhi hushiyar nigahban nahi dekha
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 110)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.