dagh-e-tap-e-firaq se dil lala-zar hai
dāġh-e-tap-e-firāq se dil lāla-zār hai
jo aah muñh se niklī vahī sho.ala-bār hai
kyā pūchhte ho hasrateñ merī kahāñ ga.iiñ
sab mar miTe haiñ dil hī meñ sab kā mazār hai
dast-e-junūñ se chāk-e-garebāñ huā to kyā
tār-e-nafas bhī ab to mirā tār-tār hai
bāteñ tirī samajhte haiñ nāseh ye kyā kareñ
qaabū meñ apne kab dil be-iḳhtiyār hai
kis baat par hai paikar-e-ḳhākī tujhe ghamanD
do din kī zindagī bhī to nā-pā.edār hai
pahlū meñ be-sabab nahīñ dil be-qarār hai
talvaoñ ko kyuuñ na ḳhār-e-muġhīlāñ kī ho havas
saudā.ī vo junūñ mire sar par savār hai
dil ko tabāh kījai par dekh bhaal ke
ye TuuTā phūTā ghar haram kard-gār hai
'mā.il' tire kalām kā shā.eq hai har koī
kuchh aur gul khilā ye zamīñ par bahār hai
dagh-e-tap-e-firaq se dil lala-zar hai
jo aah munh se nikli wahi shoala-bar hai
kya puchhte ho hasraten meri kahan gain
sab mar miTe hain dil hi mein sab ka mazar hai
dast-e-junun se chaak-e-gareban hua to kya
tar-e-nafas bhi ab to mera tar-tar hai
baaten teri samajhte hain naseh ye kya karen
qabu mein apne kab dil be-iKHtiyar hai
kis baat par hai paikar-e-KHaki tujhe ghamanD
do din ki zindagi bhi to na-paedar hai
pahlu mein be-sabab nahin dil be-qarar hai
talwaon ko kyun na KHar-e-mughilan ki ho hawas
saudai wo junun mere sar par sawar hai
dil ko tabah kijai par dekh bhaal ke
ye TuTa phuTa ghar haram kard-gar hai
'mail' tere kalam ka shaeq hai har koi
kuchh aur gul khila ye zamin par bahaar hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 110)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.