ya sharh soz-e-dil hai ya dard ka bayan hai
yā sharh soz-e-dil hai yā dard kā bayāñ hai
jo sher hai hamārā ik ġham kī dāstāñ hai
phuñktā huuñ soz-e-ġham se siina meñ dil tapāñ hai
phir ishq zaḳhm-e-dil par mere namak-fishāñ hai
hai saañs ya.anī mushkil dil is qadar tapāñ hai
is nīm-qatra ḳhuuñ meñ kyā zor al-amāñ hai
beshubha sab ke dil meñ terī jagah hai kāfir
tū kyā phirā ki ham se bargashta ik jahāñ hai
soz-e-darūñ se dil meñ ik aag sī lagī hai
aahoñ ke badle lab par har vaqt ik dhuāñ hai
lo kah chuke bahut kuchh bas ab zabāñ sambhālo
muñh meñ mire bhī āḳhir ai jān-e-jāñ zabāñ hai
va.adoñ pe tere ai but ummīd maġhfirat hai
paimāñ-shikan na honā allāh darmiyāñ hai
ya sharh soz-e-dil hai ya dard ka bayan hai
jo sher hai hamara ek gham ki dastan hai
phunkta hun soz-e-gham se sina mein dil tapan hai
phir ishq zaKHm-e-dil par mere namak-fishan hai
hai sans yani mushkil dil is qadar tapan hai
is nim-qatra KHun mein kya zor al-aman hai
beshubha sab ke dil mein teri jagah hai kafir
tu kya phira ki hum se bargashta ek jahan hai
soz-e-darun se dil mein ek aag si lagi hai
aahon ke badle lab par har waqt ek dhuan hai
lo kah chuke bahut kuchh bas ab zaban sambhaalo
munh mein mere bhi aaKHir ai jaan-e-jaan zaban hai
wadon pe tere ai but ummid maghfirat hai
paiman-shikan na hona allah darmiyan hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 111)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.