mujhse har aadmi ko nafrat hai
mujh se har aadmī ko nafrat hai
ye tire ishq kī badaulat hai
ġhair bhī karte haiñ gilā terā
kuchh mujhī ko nahīñ shikāyat hai
murde uThne lage mazāroñ se
un kā aanā bhī ik qiyāmat hai
vā.izo jaao apnā kaam karo
kū-e-jānāñ hamārī jannat hai
kyā taraddud ho apne madfan kā
kūcha-e-yār to salāmat hai
bosa māñgā to muñh banā ke kahā
aisī bātoñ se mujh ko nafrat hai
tauba may se bahār meñ vaa.iz
ye bhī ik aap kī himāqat hai
apne dil kā mujhe gilā hai 'amīr'
kuchh nahīñ ġhair kī shikāyat hai
mujh se har aadmi ko nafrat hai
ye tere ishq ki badaulat hai
ghair bhi karte hain gila tera
kuchh mujhi ko nahin shikayat hai
murde uThne lage mazaron se
un ka aana bhi ek qiyamat hai
waizo jao apna kaam karo
ku-e-jaanan hamari jannat hai
kya taraddud ho apne madfan ka
kucha-e-yar to salamat hai
bosa manga to munh bana ke kaha
aisi baaton se mujh ko nafrat hai
tauba may se bahaar mein waiz
ye bhi ek aap ki himaqat hai
apne dil ka mujhe gila hai 'amir'
kuchh nahin ghair ki shikayat hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 111)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.