jaan-setan abrue qatil ki ada hoti hai
jaan-setan abrue qatil ki ada hoti hai
Gobardhan Prashad Ameer
MORE BYGobardhan Prashad Ameer
jāñ-setāñ abrūe qātil kī adā hotī hai
usī talvār ke qabze meñ qazā hotī hai
ham ko duniyā meñ na ārām milā sunte the
jā-e-ārām musāfir ko sirā hotī hai
ulfat-e-ġhair kā ilzām maiñ detā huuñ unheñ
bas isī baat pe jhagḌe kī banā hotī hai
dekhā āshiq kā janāza to sitam-gar ne kahā
vahī hotā hai jo marzi-e-ḳhudā hotī hai
us ko shamshīr-ba-kaf dekh ke maqtal meñ 'amīr'
ruuh dahshat se raqīboñ kī fanā hotī hai
jaan-setan abrue qatil ki ada hoti hai
usi talwar ke qabze mein qaza hoti hai
hum ko duniya mein na aaram mila sunte the
ja-e-aram musafir ko sira hoti hai
ulfat-e-ghair ka ilzam main deta hun unhen
bas isi baat pe jhagDe ki bana hoti hai
dekha aashiq ka janaza to sitam-gar ne kaha
wahi hota hai jo marzi-e-KHuda hoti hai
us ko shamshir-ba-kaf dekh ke maqtal mein 'amir'
ruh dahshat se raqibon ki fana hoti hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 112)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.