shauq-e-dil un ko sunaya jab to jhunjhla kar kaha
shauq-e-dil un ko sunaya jab to jhunjhla kar kaha
Gobardhan Prashad Ameer
MORE BYGobardhan Prashad Ameer
shauq-e-dil un ko sunāyā jab to jhuñjhlā kar kahā
ham kahe dete haiñ aisī dil-lagī achchhī nahii.
ai ḳhudā kab tak milegī rāhat-e-roz-e-visāl
ye shab-e-furqat musībat kī bharī achchhī nahii.
aañkh kholo kuchh kaho apnī hamārī kuchh suno
hazrat-e-dil ye tumhārī be-ḳhudī achchhī nahīñ
phir na a.alam meñ numāyāñ ho kahīñ tūfān-e-nūh
dīda-giryāñ ye sāvan kī jhaḌī achchhī nahīñ
vaqt gar ye gudgudā.e koī kyuuñ mujh ko 'amīr'
rone vāloñ se kisī kī ye hañsī achchhī nahīñ
shauq-e-dil un ko sunaya jab to jhunjhla kar kaha
hum kahe dete hain aisi dil-lagi achchhi nahi
ai KHuda kab tak milegi rahat-e-roz-e-visal
ye shab-e-furqat musibat ki bhari achchhi nahi
aankh kholo kuchh kaho apni hamari kuchh suno
hazrat-e-dil ye tumhaari be-KHudi achchhi nahin
phir na aalam mein numayan ho kahin tufan-e-nuh
dida-giryan ye sawan ki jhaDi achchhi nahin
waqt gar ye gudgudae koi kyun mujh ko 'amir'
rone walon se kisi ki ye hansi achchhi nahin
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 113)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.