baat kahte hain is dahan se hum
baat kahte haiñ is dahan se ham
haiñ pashemān is suḳhan se ham
gul-ruḳhoñ kī hai is meñ kyā taqsīr
mar ga.e apne bāñkpan se ham
qatl ko jo mazār par aave
nikal aaveñ vahīñ kafan se ham
gul-o-bulbul se ai sabā kahiyo
ḳhush raho tum chale chaman se ham
yahī takalluf-o-zillat-o-kHvārī
dekhī jab se chale vatan se ham
ashk se misl-e-sham.a jalte haiñ
kyuuñ na ḳhush hoveñ anjuman se ham
is se kyā dostī libāsī hai
'ishq' ḳhush hoveñ pairahan se ham
baat kahte hain is dahan se hum
hain pasheman is suKHan se hum
gul-ruKHon ki hai is mein kya taqsir
mar gae apne bankpan se hum
qatl ko jo mazar par aawe
nikal aawen wahin kafan se hum
gul-o-bulbul se ai saba kahiyo
KHush raho tum chale chaman se hum
yahi takalluf-o-zillat-o-kHwari
dekhi jab se chale watan se hum
ashk se misl-e-shama jalte hain
kyun na KHush howen anjuman se hum
is se kya dosti libasi hai
'ishq' KHush howen pairahan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.