kyun dil ko taDap hai aaTh pahar kyun chupke chupke rona hai
kyun dil ko taDap hai aaTh pahar kyun chupke chupke rona hai
Jageshwar Prasad Khalish
MORE BYJageshwar Prasad Khalish
kyuuñ dil ko taḌap hai aaTh pahar kyuuñ chupke chupke ronā hai
kuchh sach to batā ai baḳht siyah ab hijr kī shab kyā honā hai
hai marg-e-adū kā ġham kis ko hai jām-o-subū kā ġham kis ko
ronā hai mujhe ye aaTh pahar kyuuñ ġhair kā un ko ronā hai
vo rashk-e-chaman vo ġhuncha-dahan the phuul se jin ke nāzuk tan
ab ba.ad-e-fanā ik ālam-e-hū miTTī hī lahad kā konā hai
phir hijr kī shab lab par hai fuġhāñ siine meñ khaTak hai dil meñ 'ḳhalish'
āsār bure aate haiñ nazar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
mar-mar ke 'ḳhalish' ho ḳhaak basar aur ba.ad-e-fanā tum lo na ḳhabar
jo hasrat hai ye hasrat hai jo ronā hai ye ronā hai
kyun dil ko taDap hai aaTh pahar kyun chupke chupke rona hai
kuchh sach to bata ai baKHt siyah ab hijr ki shab kya hona hai
hai marg-e-adu ka gham kis ko hai jam-o-subu ka gham kis ko
rona hai mujhe ye aaTh pahar kyun ghair ka un ko rona hai
wo rashk-e-chaman wo ghuncha-dahan the phul se jin ke nazuk tan
ab baad-e-fana ek aalam-e-hu miTTi hi lahad ka kona hai
phir hijr ki shab lab par hai fughan sine mein khaTak hai dil mein 'KHalish'
aasar bure aate hain nazar malum nahin kya hona hai
mar-mar ke 'KHalish' ho KHak basar aur baad-e-fana tum lo na KHabar
jo hasrat hai ye hasrat hai jo rona hai ye rona hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 133)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.