phir hausla dua ko hua hai wafa kare
phir hausla duā ko huā hai vafā kare
zālim jafā se baaz na aa.e ḳhudā kare
maftūn-e-sad-nīgāh tamannā hai dil mirā
us ko kahāñ talak koī sarf-e-vafā kare
sad-gūna hadd-e-hasr se afzūñ hai shauq-e-dil
kyā umr-e-ḳhizr ko koī sarf-e-duā kare
phir dīda-o-jigar meñ haiñ bāham ye chashmakeñ
tīr-e-nigāh-e-yār kahāñ dekheñ kyā kare
phir teġh-e-nāz DhūñDtī hai sīna-o-jigar
tīr-e-nigah ko dhun hai ki phir dil meñ jā kare
phir jeb ko havas hai ki ho yuuñ vo taar taar
mamnūn baḳhiya-gar na tabī.at huā kare
phir garm aah shoa.la-fishāñ hai dil hazīñ
phir gar ye chāhtā hai ki tūfāñ bapā kare
un zoroñ josh par hai phir ashk-e-ravāñ kī sel
phir hai junūñ kā hukm ki mahshar bapā kare
phir ishq chāhtā hai tire āstāna par
bā-minnat-o-niyāz mujhe jab.ha-sā kare
mere ġhubār ko hai ḳhayāl-e-urūj phir
tā zer-e-bār-e-mannat dosh-e-sabā kare
phir imtihān-e-jazba-e-dil ko chalī hai yaas
tā mehrbāñ ho vo but-e-kāfir ḳhudā kare
phir mere sar pe khel rahī hai ajal mirī
shamshīr-e-nāz tan se mirā sar judā kare
kyā phir hai mai-kashī kā tahayya janāb-e-'mast'
zāhid se kah do abr kī is dam duā kare
phir hausla dua ko hua hai wafa kare
zalim jafa se baz na aae KHuda kare
maftun-e-sad-nigah tamanna hai dil mera
us ko kahan talak koi sarf-e-wafa kare
sad-guna hadd-e-hasr se afzun hai shauq-e-dil
kya umr-e-KHizr ko koi sarf-e-dua kare
phir dida-o-jigar mein hain baham ye chashmaken
tir-e-nigah-e-yar kahan dekhen kya kare
phir tegh-e-naz DhunDti hai sina-o-jigar
tir-e-nigah ko dhun hai ki phir dil mein ja kare
phir jeb ko hawas hai ki ho yun wo tar tar
mamnun baKHiya-gar na tabiat hua kare
phir garm aah shoala-fishan hai dil hazin
phir gar ye chahta hai ki tufan bapa kare
un zoron josh par hai phir ashk-e-rawan ki sel
phir hai junun ka hukm ki mahshar bapa kare
phir ishq chahta hai tere aastana par
ba-minnat-o-niyaz mujhe jabha-sa kare
mere ghubar ko hai KHayal-e-uruj phir
ta zer-e-bar-e-mannat dosh-e-saba kare
phir imtihan-e-jazba-e-dil ko chali hai yas
ta mehrban ho wo but-e-kafir KHuda kare
phir mere sar pe khel rahi hai ajal meri
shamshir-e-naz tan se mera sar juda kare
kya phir hai mai-kashi ka tahayya janab-e-'mast'
zahid se kah do abr ki is dam dua kare
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 100)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.