masha-allah hai kya tera moattar gesu
māshā-allāh hai kyā terā mo.attar gesū
nāfa-e-mushk-e-ḳhutan se bhī hai behtar gesū
kyā karūñ vasf ki kyā hai terā dilbar gesū
sunbulistān-e-iram yā ki muambar gesū
lab se āñkhoñ se zanaḳhdāñ se ruḳhsāroñ se
sab se ḳhūbī meñ baḌhā hai terā number gesū
sūraj grahan kā gumāñ hue munajjim ko abhī
ruḳh-e-kHortāb se mil jaa.eñ jo dam bhar gesū
aks se tāj-e-murassā ke ye hotā hai gumāñ
dasht-e-zulmāt meñ hai ma.adan-e-gauhar gesū
aaj kyā hai ki pareshānī hai chehra se ayaañ
kyuuñ sarāsar ye nazar aate haiñ abtar gesū
kyuuñ udāsī hai ye chehra pe kaho haal hai kyā
ruḳh ke faq-rañg haiñ kyuuñ aur hai abtar gesū
dastaras kaise huī arz-o-samā kī duurī
aap ke paañv to haiñ aaj falak par gesū
ye ḳhatā apnī hai kHud-karda-e-rāyāñ che ilaaj
ḳhud pashemāñ huuñ chaḌhā kar tujhe sar par gesū
baal khole na lab-e-bām tum aao hargiz
kahīñ ban jaa.eñ na aḌ jaane ko shahpar gesū
kyā ulaT-pher hai kyā shān-e-ḳhudā hai 'tāhir'
shāna gesū pe kabhī shāne ke uupar gesū
masha-allah hai kya tera moattar gesu
nafa-e-mushk-e-KHutan se bhi hai behtar gesu
kya karun wasf ki kya hai tera dilbar gesu
sunbulistan-e-iram ya ki muambar gesu
lab se aankhon se zanaKHdan se ruKHsaron se
sab se KHubi mein baDha hai tera number gesu
suraj grahan ka guman hue munajjim ko abhi
ruKH-e-kHortab se mil jaen jo dam bhar gesu
aks se taj-e-murassa ke ye hota hai guman
dasht-e-zulmat mein hai madan-e-gauhar gesu
aaj kya hai ki pareshani hai chehra se ayan
kyun sarasar ye nazar aate hain abtar gesu
kyun udasi hai ye chehra pe kaho haal hai kya
ruKH ke faq-rang hain kyun aur hai abtar gesu
dastaras kaise hui arz-o-sama ki duri
aap ke panw to hain aaj falak par gesu
ye KHata apni hai kHud-karda-e-rayan che ilaj
KHud pasheman hun chaDha kar tujhe sar par gesu
baal khole na lab-e-baam tum aao hargiz
kahin ban jaen na aD jaane ko shahpar gesu
kya ulaT-pher hai kya shan-e-KHuda hai 'tahir'
shana gesu pe kabhi shane ke upar gesu
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 79)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.