jab se bargashta jahan mein hui izzat meri
jab se bargashta jahāñ meñ huī izzat merī
pher lete haiñ vo muñh dekh ke sūrat merī
dil-o-jāñ ne bhī na kī vaqt pe shirkat merī
hairat-afzā hai zamāna meñ musībat merī
husn-e-jānāñ pe nazar paḌte hī jaate rahe hosh
ik ishāre meñ yahāñ luT ga.ī daulat merī
jis kī ummīd pe baiThā huā duniyā meñ rahā
haaye us ne kabhī pūchhī bhī na hālat merī
sar qalam kar de mirā shauq se qātil lekin
hashr meñ rañg dikhā degī shahādat merī
yā ilāhī mire dushman ko bhī ye dukh na dikhā
jis musībat se kaTī hai shab-e-furqat merī
ab meñ ummīd karūñ ba.ad-e-fanā kyā un se
zindagī meñ jo na niklī kabhī hasrat merī
un ke sab zulm-o-sitam sahtā huuñ dil par lekin
un se phirtī hī nahii. phir bhī tabī.at merī
maiñ judā sab se huuñ duniyā meñ nahii. mujh sā koī
kis se miltī hai batā de koī sūrat merī
kis jagah fikr nahii. un kī nahīñ un kī talāsh
un kā dīdār ho aisī kahāñ qismat merī
zulm sahtā rahā uf tak na zabāñ par aa.ī
'fitratī' aap ne dekhī ye sharārat merī
jab se bargashta jahan mein hui izzat meri
pher lete hain wo munh dekh ke surat meri
dil-o-jaan ne bhi na ki waqt pe shirkat meri
hairat-afza hai zamana mein musibat meri
husn-e-jaanan pe nazar paDte hi jate rahe hosh
ek ishaare mein yahan luT gai daulat meri
jis ki ummid pe baiTha hua duniya mein raha
haye us ne kabhi puchhi bhi na haalat meri
sar qalam kar de mera shauq se qatil lekin
hashr mein rang dikha degi shahadat meri
ya ilahi mere dushman ko bhi ye dukh na dikha
jis musibat se kaTi hai shab-e-furqat meri
ab mein ummid karun baad-e-fana kya un se
zindagi mein jo na nikli kabhi hasrat meri
un ke sab zulm-o-sitam sahta hun dil par lekin
un se phirti hi nahi phir bhi tabiat meri
main juda sab se hun duniya mein nahi mujh sa koi
kis se milti hai bata de koi surat meri
kis jagah fikr nahi un ki nahin un ki talash
un ka didar ho aisi kahan qismat meri
zulm sahta raha uf tak na zaban par aai
'fitrati' aap ne dekhi ye shararat meri
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 125)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.