wo hum ko KHwab mein surat dikha ke baiThe hain
vo ham ko ḳhvāb meñ sūrat dikhā ke baiThe haiñ
nasīb aaj ham apnā jagā ke baiThe haiñ
na pūchho shauq shahādat kā ham se kuchh ahvāl
shahīd hone ko maqtal meñ aake baiThe haiñ
savāl shauq-e-shahādat kiyā nahīñ jaatā
ḳhamosh sāmne qātil ke jaake baiThe haiñ
hamāre paas hai kyā nazar kyā kareñ un ko
jo naqd-e-dil thā use bhī luTā ke baiThe haiñ
hujūm ahl-e-mohabbat se ho ga.e aajiz
yahī sabab hai ki parde meñ jā ke baiThe haiñ
firāq meñ kisī gulgūñ qabā ke ghabrā kar
chaman meñ dil kī tasallī ko aake baiThe haiñ
kahāñ hai ab hameñ tāqat ki uTh ke jaa.eñ kahīñ
nigah ke tiir to ham dil pe khā ke baiThe haiñ
ḳhudā ke vāste ai ‘fitratī’ baġhaur tu dekh
ki kaun chhup ke nigāhoñ meñ aa ke baiThe haiñ
wo hum ko KHwab mein surat dikha ke baiThe hain
nasib aaj hum apna jaga ke baiThe hain
na puchho shauq shahadat ka hum se kuchh ahwal
shahid hone ko maqtal mein aake baiThe hain
sawal shauq-e-shahadat kiya nahin jata
KHamosh samne qatil ke jake baiThe hain
hamare pas hai kya nazar kya karen un ko
jo naqd-e-dil tha use bhi luTa ke baiThe hain
hujum ahl-e-mohabbat se ho gae aajiz
yahi sabab hai ki parde mein ja ke baiThe hain
firaq mein kisi gulgun qaba ke ghabra kar
chaman mein dil ki tasalli ko aake baiThe hain
kahan hai ab hamein taqat ki uTh ke jaen kahin
nigah ke tir to hum dil pe kha ke baiThe hain
KHuda ke waste ai ‘fitrati’ baghaur tu dekh
ki kaun chhup ke nigahon mein aa ke baiThe hain
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 125)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.