mere nala haye sahar kabhi jo labon tak aake machal gae
mere nala haye sahar kabhi jo labon tak aake machal gae
Bahauddin Ahmad Kaleem
MORE BYBahauddin Ahmad Kaleem
mere naala haaye sahar kabhī jo laboñ tak aake machal ga.e
tire baam tak na pahuñch sake to ġhazal ke ruup meñ Dhal ga.e
vo fazā-e-mai-kada sāqiyā na patā ḳhirad kā na hosh kā
ye tirī nigāh kā faiz thā ki gire to gir ke sambhal ga.e
rah-e-shauq kī vo masāfateñ vo havā-e-tund kī shorisheñ
tirī ḳhāk-e-pā ke tufail meñ jo nikal ga.e vo nikal ga.e
ye ajiib sahar-e-tarāziyāñ haiñ 'kalīm' yād-e-habīb kī
kabhī aa ga.ī to taḌap uThe kabhī aa ga.ī to bahal ga.e
mere nala haye sahar kabhi jo labon tak aake machal gae
tere baam tak na pahunch sake to ghazal ke rup mein Dhal gae
wo faza-e-mai-kada saqiya na pata KHirad ka na hosh ka
ye teri nigah ka faiz tha ki gire to gir ke sambhal gae
rah-e-shauq ki wo masafaten wo hawa-e-tund ki shorishen
teri KHak-e-pa ke tufail mein jo nikal gae wo nikal gae
ye ajib sahar-e-taraaziyan hain 'kalim' yaad-e-habib ki
kabhi aa gai to taDap uThe kabhi aa gai to bahal gae
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 81)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.