Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHuda ko yaad kar kyun multaji hai kimiya-gar se

Bahr Lakhnavi

KHuda ko yaad kar kyun multaji hai kimiya-gar se

Bahr Lakhnavi

MORE BYBahr Lakhnavi

    ḳhudā ko yaad kar kyuuñ multajī hai kīmiyā-gar se

    ki sonā ḳhaak se hotā hai paidā laa'l patthar se

    ġhazab meñ jaan hai har-dam du'ā karatā huuñ dāvar se

    mohabbat jaa.e dil se ye balā nikle mire ghar se

    mire par bhī asar dekhā ye apnī ashk-bārī

    bukHārāt-e-zamīñ uTh-uTh ke aksar gor par barse

    rulāyā ham ko kyā kiyā be-vafā ne muñh na dikhlāyā

    hamārī dīda-e-tar 'umr-bhar dīdār ko tarse

    mirā qātil pilā.egā mujhe sharbat shahādat

    ḳhabar ye kaun laayā hai bharo muñh us shakar se

    jabīn-e-yār se afshāñ dekhī zarra-afshānī

    ḳhushī ke phuul jhaḌte haiñ charāġh-e-māh-e-anvar se

    na guzre chaar din bhī chain se us mohabbat meñ

    bahut ro.e bahut piiTe bahut taḌpā bahut tarse

    kaTī barsāt 'bahr' is saal bhī fariyād-o-shevan meñ

    ḳhabar ham ko nahīñ bādal kidhar aa.e kidhar barse

    KHuda ko yaad kar kyun multaji hai kimiya-gar se

    ki sona KHak se hota hai paida la'l patthar se

    ghazab mein jaan hai har-dam du'a karata hun dawar se

    mohabbat jae dil se ye bala nikle mere ghar se

    mere par bhi asar dekha ye apni ashk-bari ka

    bukHaraat-e-zamin uTh-uTh ke aksar gor par barse

    rulaya hum ko kya kiya be-wafa ne munh na dikhlaya

    hamari dida-e-tar 'umr-bhar didar ko tarse

    mera qatil pilaega mujhe sharbat shahadat ka

    KHabar ye kaun laya hai bharo munh us ka shakar se

    jabin-e-yar se afshan ki dekhi zarra-afshani

    KHushi ke phul jhaDte hain charagh-e-mah-e-anwar se

    na guzre chaar din bhi chain se us ki mohabbat mein

    bahut roe bahut piTe bahut taDpa bahut tarse

    kaTi barsat 'bahr' is sal bhi fariyaad-o-shewan mein

    KHabar hum ko nahin baadal kidhar aae kidhar barse

    Source :
    • Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now