aarzu didar ki hai nikle kya hijran mein dam
aarzū dīdār kī hai nikle kyā hijrāñ meñ dam
ruk rahā hai yaar mere dīdan-e-hairāñ meñ dam
donoñ 'ālam ho ga.e bismil pe tezī hai vahī
hai qayāmat yaar tere ḳhanjar-e-burrāñ meñ dam
yaar ke kūche meñ yārab apnā lāsha dafn ho
aur nikle vaqt-e-murdan mahfil-e-jānāñ meñ dam
tiir meñ paikāñ to dam paikāñ meñ pahlū se na khīñch
hai mirā saffāk ab aTkā huā paikāñ meñ dam
pās-e-nāmūs-e-adab hai varna pahuñche tā falak
hai abhī itnā mirī āh-e-sharar-afshāñ meñ dam
nā-tavāñ ho kar paḌe haiñ to na kūche se uThā
ab nahīñ baaqī tire ’ushshāq-e-sargardāñ meñ dam
ārzū-e-dīn-o-duniyā ab nahīñ 'bahrām' kuchh
par mirā nikle umīd-e-rahmat-e-yazdāñ meñ dam
aarzu didar ki hai nikle kya hijran mein dam
ruk raha hai yar mere didan-e-hairan mein dam
donon 'alam ho gae bismil pe tezi hai wahi
hai qayamat yar tere KHanjar-e-burran mein dam
yar ke kuche mein yarab apna lasha dafn ho
aur nikle waqt-e-murdan mahfil-e-jaanan mein dam
tir mein paikan to dam paikan mein pahlu se na khinch
hai mera saffak ab aTka hua paikan mein dam
pas-e-namus-e-adab hai warna pahunche ta falak
hai abhi itna meri aah-e-sharar-afshan mein dam
na-tawan ho kar paDe hain to na kuche se uTha
ab nahin baqi tere ’ushshaq-e-sargardan mein dam
aarzu-e-din-o-duniya ab nahin 'bahram' kuchh
par mera nikle umid-e-rahmat-e-yazdan mein dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.