ru-e-taban yar ka KHurshid se kuchh kam nahin
rū-e-tābāñ yaar kā ḳhurshīd se kuchh kam nahīñ
kab ḳhajil us kī ziyā se nayyar-e-a’azam nahīñ
sab hasīnān-e-jahāñ haiñ sar-ba-sar zar ke mutī.a
paas apne dāġh-e-sīna haiñ magar dirham nahīñ
haiñ ḳhajil qaus-o-hilāl-o-kHanjar-o-teġh-e-sitam
qātil-e-a.alam hai terī abrū-e-pur-kHam nahīñ
'ishq meñ us zulf ke tū shakl-e-shāna ban gayā
saaf hotī tujh se ai dil kākul-e-barham nahīñ
asal kī jānib ko har shai kartī hai zāhid rujūa
gar na chhoḌeñ bāġh-e-jannat ham banī-ādam nahīñ
naza.a ke vaqt aayā samjhāne se logoñ ke vo shoḳh
hañs ke bolā makar hai is kā ye kuchh be-dam nahīñ
haath duniyā se uThā le pahle ai 'bahrām' tū
paañv phailāne kā tujhko chār-sū phir ġham nahīñ
ru-e-taban yar ka KHurshid se kuchh kam nahin
kab KHajil us ki ziya se nayyar-e-a’azam nahin
sab hasinan-e-jahan hain sar-ba-sar zar ke mutia
pas apne dagh-e-sina hain magar dirham nahin
hain KHajil qaus-o-hilal-o-kHanjar-o-tegh-e-sitam
qatil-e-alam hai teri abru-e-pur-kHam nahin
'ishq mein us zulf ke tu shakl-e-shana ban gaya
saf hoti tujh se ai dil kakul-e-barham nahin
asal ki jaanib ko har shai karti hai zahid rujua
gar na chhoDen bagh-e-jannat hum bani-adam nahin
naza ke waqt aaya samjhane se logon ke wo shoKH
hans ke bola makar hai is ka ye kuchh be-dam nahin
hath duniya se uTha le pahle ai 'bahram' tu
panw phailane ka tujhko chaar-su phir gham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.