shor-e-sauda-e-junun kaisa azal se sar mein hai
shor-e-saudā-e-junūñ kaisā azal se sar meñ hai
jo mazā sandal kā hāsil mujh ko har patthar meñ hai
khīñchtā huuñ maiñ tasavvur se ba-dil tasvīr-e-yār
āftāb-e-sub.h saañ mahbūb mere bar meñ hai
us kī nik.hat se dam-e-’ushshāq ko har-dam baqā
kyā shamīm-e-rūh-afzā gesū-e-dilbar meñ hai
rū-e-kHur meñ jhurriyāñ aur maah meñ dāġh-e-siyāh
āb-o-tāb-e-nūr kyā tere ruḳh-e-anvar meñ
masnad-e-kam-ḳhvāb-e-shāhāñ ko kahāñ hāsil ye qadr
manzilat tere gadāoñ kī jo ḳhākistar meñ hai
us ke nazzāre kī ho kaise dil-e-insāñ ko taab
jalva-e-zāt-e-kHudā tere ruḳh-e-anvar meñ hai
āstāñ par aap ke rahtī hai gar apnī jabīñ
haath bhī apnā tumhāre halqa-hā-e-dar hai
shor-e-sauda-e-junun kaisa azal se sar mein hai
jo maza sandal ka hasil mujh ko har patthar mein hai
khinchta hun main tasawwur se ba-dil taswir-e-yar
aaftab-e-subh san mahbub mere bar mein hai
us ki nikhat se dam-e-’ushshaq ko har-dam baqa
kya shamim-e-ruh-afza gesu-e-dilbar mein hai
ru-e-kHur mein jhurriyan aur mah mein dagh-e-siyah
aab-o-tab-e-nur kya tere ruKH-e-anwar mein
masnad-e-kam-KHwab-e-shahan ko kahan hasil ye qadr
manzilat tere gadaon ki jo KHakistar mein hai
us ke nazzare ki ho kaise dil-e-insan ko tab
jalwa-e-zat-e-kHuda tere ruKH-e-anwar mein hai
aastan par aap ke rahti hai gar apni jabin
hath bhi apna tumhaare halqa-ha-e-dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.