bahut barsi ghaTa chhane se pahle
bahut barsī ghaTā chhāne se pahle
vo aa.e haiñ ḳhayāl aane se pahle
taġhāful-kesh maiñ ne tum ko samjhā
magar dīvāna ban jaane se pahle
maqām-e-dil muqaddam hai nazar par
dil aayā hai nazar aane se pahle
zarā suljhā.eñ dil kī uljhanoñ ko
vo apnī zulf suljhāne se pahle
kab aatī hai qayāmat maiñ batā.ūñ
tire jaane ke ba.ad aane se pahle
bahāreñ muskurātī haiñ ḳhizāñ meñ
khile haiñ phuul murjhāne se pahle
hañsī kī jhalkiyāñ haiñ āñsuoñ meñ
vo ḳhud aate the yaad aane se pahle
naqāb aayā na aa.e un ke ruḳh par
hamāre hosh meñ aane se pahle
'zahīn' us kī haqīqat jis ne samjhī
na samjhī mere afsāne se pahle
bahut barsi ghaTa chhane se pahle
wo aae hain KHayal aane se pahle
taghaful-kesh main ne tum ko samjha
magar diwana ban jaane se pahle
maqam-e-dil muqaddam hai nazar par
dil aaya hai nazar aane se pahle
zara suljhaen dil ki uljhanon ko
wo apni zulf suljhane se pahle
kab aati hai qayamat main bataun
tere jaane ke baad aane se pahle
bahaaren muskuraati hain KHizan mein
khile hain phul murjhane se pahle
hansi ki jhalkiyan hain aansuon mein
wo KHud aate the yaad aane se pahle
naqab aaya na aae un ke ruKH par
hamare hosh mein aane se pahle
'zahin' us ki haqiqat jis ne samjhi
na samjhi mere afsane se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.