yuuñ to jo chāhe yahāñ sāhab-e-mahfil ho jaa.e
bazm us shaḳhs kī hai tū jise hāsil ho jaa.e
nāḳhudā ai mirī kashtī ke chalāne vaale
lutf to jab hai ki har mauj hī sāhil ho jaa.e
isliye chal ke har ik gaam pe ruk jaatā huuñ
tā na be-kaif ġham-e-dūri-e-manzil ho jaa.e
tujh ko apnī hī qasam ye to batā de mujh ko
kyā ye mumkin hai kabhī tū mujhe hāsil ho jaa.e
haa.e us vaqt dil-e-zār kā a.alam kyā ho
gar mohabbat hī mohabbat ke muqābil ho jaa.e
phīkā phīkā hai mirī bazm-e-mohabbat kā charāġh
tum jo aa jaao to kuchh raunaq-e-mahfil ho jaa.e
terī nazreñ jo zarā mujh pe karam farmā.eñ
terī nazroñ kī qasam phir yahī dil dil ho jaa.e
hosh us ke haiñ ye jaam uskā hai tū hai uskā
mai-kade meñ tire jo shaḳhs bhī ġhāfil ho jaa.e
fitna-gar shauq se 'bahzād' ko kar de pāmāl
is se taskīn-e-dilī gar tujhe hāsil ho jaa.e
yun to jo chahe yahan sahab-e-mahfil ho jae
bazm us shaKHs ki hai tu jise hasil ho jae
naKHuda ai meri kashti ke chalane wale
lutf to jab hai ki har mauj hi sahil ho jae
isliye chal ke har ek gam pe ruk jata hun
ta na be-kaif gham-e-duri-e-manzil ho jae
tujh ko apni hi qasam ye to bata de mujh ko
kya ye mumkin hai kabhi tu mujhe hasil ho jae
hae us waqt dil-e-zar ka aalam kya ho
gar mohabbat hi mohabbat ke muqabil ho jae
phika phika hai meri bazm-e-mohabbat ka charagh
tum jo aa jao to kuchh raunaq-e-mahfil ho jae
teri nazren jo zara mujh pe karam farmaen
teri nazron ki qasam phir yahi dil dil ho jae
hosh us ke hain ye jam uska hai tu hai uska
mai-kade mein tere jo shaKHs bhi ghafil ho jae
fitna-gar shauq se 'bahzad' ko kar de pamal
is se taskin-e-dili gar tujhe hasil ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.