ai dīda-e-dil jalva-e-jānāna kahāñ hai
apne to sabhī baiThe haiñ begāna kahāñ hai
aa.ī haiñ har ik samt se ghir-ghir ke ghaTā.eñ
saaqī mire saaqī mirā paimāna kahāñ hai
lillāh batā do hai mujhe kufr kī hājat
ka.aba to har ik jā hai sanam-ḳhāna kahāñ hai
kuchh ishq kā andāz hai kuchh husn kā andāz
afsos ki ik rañg meñ afsāna kahāñ hai
ik din vo thā Thukrāte the dīvāne ke armāñ
ab pūchhte phirte haiñ ki dīvāna kahāñ hai
ai rahrav-e-kā'ba mujhe itnā to batā de
maiñ but kī tamannā meñ huuñ but-ḳhāna kahāñ hai
kyuuñ ḳhaar hī chuntā hai are phuul bhī chun le
vahshī ye gulistāñ hai ye vīrāna kahāñ hai
in kaalī ghaTāoñ ne bahut mast kiyā hai
koī ye batā de mujhe mai-ḳhāna kahāñ hai
'bahzād' mire dam se thī sar-garmī-e-mahfil
ab sham.a bhī jaltī hai to parvāna kahāñ hai
ai dida-e-dil jalwa-e-jaanana kahan hai
apne to sabhi baiThe hain begana kahan hai
aai hain har ek samt se ghir-ghir ke ghaTaen
saqi mere saqi mera paimana kahan hai
lillah bata do hai mujhe kufr ki hajat
kaba to har ek ja hai sanam-KHana kahan hai
kuchh ishq ka andaz hai kuchh husn ka andaz
afsos ki ek rang mein afsana kahan hai
ek din wo tha Thukraate the diwane ke arman
ab puchhte phirte hain ki diwana kahan hai
ai rahraw-e-ka'ba mujhe itna to bata de
main but ki tamanna mein hun but-KHana kahan hai
kyun KHar hi chunta hai are phul bhi chun le
wahshi ye gulistan hai ye virana kahan hai
in kali ghaTaon ne bahut mast kiya hai
koi ye bata de mujhe mai-KHana kahan hai
'bahzad' mere dam se thi sar-garmi-e-mahfil
ab shama bhi jalti hai to parwana kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.