mere ġham kī talḳhiyāñ paiġhāmbar samjhā nahīñ
un se jo kahnā thā kah aayā magar samjhā nahīñ
ik fusūñ sā chhā gayā kaun-o-makāñ meñ har taraf
mere sahr-e-'ishq ko jādū-nazar samjhā nahīñ
aa rahī thī mere qadmoñ kī sadā-e-dardnāk
kaun aatā hai charāġh-e-rah-guzar samjhā nahīñ
kah diyā kal raaz mai-ḳhāna kā saaqī ne magar
be-ḳhabar samjhe to samjhe bā-ḳhabar samjhā nahīñ
zulmatoñ se shab kī maiñ ne khel kar shab kaaT dī
har tajallī ko kabhī maiñ ne sahar samjhā nahīñ
maiñ to samjhā thā yuñhī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
maiñ ne us ko apnī aahoñ kā asar samjhā nahīñ
ab to ye batlā rahā hai un kā andāz-e-hijāb
un kā jalva mujh ko be-tāb-e-nazar samjhā nahīñ
pā sakā 'ālam na merī ḳhush-navā.ī kā mazā
dīda-var ke paas maiñ thā dīda-var samjhā nahīñ
kis liye ākHir bhaTaktī apnī chashm-e-ishtiyāq
har jagah vo haiñ yahī zauq-e-nazar samjhā nahīñ
us ke pā-e-nāz ko hai mere sajdoñ kī talāsh
hosh hī kab the mujhe us kī nazar samjhā nahīñ
koī hī āvāz de de mere chashm-e-shauq ko
jalva kī kyā aarzū hai jalva-gar samjhā nahīñ
zulf-o-ruḳh se māvarā 'bahzād' hai merā ḳhayāl
merā 'ālam sāhab-e-shām-o-sahar samjhā nahīñ
mere gham ki talKHiyan paighambar samjha nahin
un se jo kahna tha kah aaya magar samjha nahin
ek fusun sa chha gaya kaun-o-makan mein har taraf
mere sahr-e-'ishq ko jadu-nazar samjha nahin
aa rahi thi mere qadmon ki sada-e-dardnak
kaun aata hai charagh-e-rah-guzar samjha nahin
kah diya kal raaz mai-KHana ka saqi ne magar
be-KHabar samjhe to samjhe ba-KHabar samjha nahin
zulmaton se shab ki main ne khel kar shab kaT di
har tajalli ko kabhi main ne sahar samjha nahin
main to samjha tha yunhi aankhon mein aansu aa gae
main ne us ko apni aahon ka asar samjha nahin
ab to ye batla raha hai un ka andaz-e-hijab
un ka jalwa mujh ko be-tab-e-nazar samjha nahin
pa saka 'alam na meri KHush-nawai ka maza
dida-war ke pas main tha dida-war samjha nahin
kis liye aakHir bhaTakti apni chashm-e-ishtiyaq
har jagah wo hain yahi zauq-e-nazar samjha nahin
us ke pa-e-naz ko hai mere sajdon ki talash
hosh hi kab the mujhe us ki nazar samjha nahin
koi hi aawaz de de mere chashm-e-shauq ko
jalwa ki kya aarzu hai jalwa-gar samjha nahin
zulf-o-ruKH se mawara 'bahzad' hai mera KHayal
mera 'alam sahab-e-sham-o-sahar samjha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.