Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hai wahi shab hain shab hain wahi tare wahi hangam hai

Behzad Lakhnavi

hai wahi shab hain shab hain wahi tare wahi hangam hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    hai vahī shab haiñ shab haiñ vahī taare vahī hañgām hai

    mere bujh jaane se kyuuñ tanhā charāġh-e-shām hai

    zindagī ḳhush-kām hai zindagī nākām hai

    ek 'ālam haiñ donoñ ek anjām hai

    paas mere kyā hai ik dil ik jigar ik chashm-e-tar

    ek dīvāna hai ik vahshī hai ik nākām hai

    meñ duā-e-sub.h kyuuñ māñgūñ shab-e-ālām-o-hijr

    sub.h 'ālam haqīqat meñ fareb-e-shām hai

    ho rahe haiñ zarre zarre se 'ayāñ vo chaar

    allāh allāh aaj phir izn-e-tamāshā 'aam hai

    ab hamīñ ham rah ga.e haiñ is jahān-e-shauq meñ

    ab na vo 'ālam na vo nazreñ na vo paiġhām hai

    jhuk ga.ī hai un ke qadmoñ par jabīn-e-ārzū

    kufr kahte haiñ jise shāyad usī naam hai

    dūrī-e-manzil ko aksar ḳhud baḌhā letā huuñ maiñ

    varna manzil par pahuñch jaanā bhī koī kaam hai

    mere saaqī ne pilā.ī mujh ko is andāz se

    mai-kade vaale yahī samjhe ki ḳhālī jaam hai

    sunñe vaale sun rahe haiñ kahne vaalā kyuuñ kahe

    zindagī afsāma-e-shām-o-sahar naam hai

    shukr ke 'ālim meñ bhī aksar nikal jaatī hai aah

    mujh pe ai 'bahzād' shikve 'abas ilzām hai

    hai wahi shab hain shab hain wahi tare wahi hangam hai

    mere bujh jaane se kyun tanha charagh-e-sham hai

    zindagi KHush-kaam hai ya zindagi nakaam hai

    ek hi 'alam hain donon ek hi anjam hai

    pas mere kya hai ek dil ek jigar ek chashm-e-tar

    ek diwana hai ek wahshi hai ek nakaam hai

    mein dua-e-subh kyun mangun shab-e-alam-o-hijr

    subh ka 'alam haqiqat mein fareb-e-sham hai

    ho rahe hain zarre zarre se 'ayan wo chaar su

    allah allah aaj phir izn-e-tamasha 'am hai

    ab hamin hum rah gae hain is jahan-e-shauq mein

    ab na wo 'alam na wo nazren na wo paigham hai

    jhuk gai hai un ke qadmon par jabin-e-arzu

    kufr kahte hain jise shayad usi ka nam hai

    duri-e-manzil ko aksar KHud baDha leta hun main

    warna manzil par pahunch jaana bhi koi kaam hai

    mere saqi ne pilai mujh ko is andaz se

    mai-kade wale yahi samjhe ki KHali jam hai

    sunne wale sun rahe hain kahne wala kyun kahe

    zindagi afsama-e-sham-o-sahar ka nam hai

    shukr ke 'alim mein bhi aksar nikal jati hai aah

    mujh pe ai 'bahzad' shikwe ka 'abas ilzam hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now