Font by Mehr Nastaliq Web

ek jahan hai mahw-e-hairat kya kahun

Behzad Lakhnavi

ek jahan hai mahw-e-hairat kya kahun

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ik jahāñ hai mahv-e-hairat kyā kahūñ

    apnī rūdād-e-mohabbat kyā kahūñ

    merā har aañsū hai merā rāz-e-dil

    ab meñ in ashkoñ qismat kyā kahūñ

    ḳhud samajh leñge vo merā hāl-e-dil

    apnā armāñ apnī hasrat kyā kahūñ

    aa ga.e vo ruḳh se sarkā.e naqāb

    ho ga.ī turfa qayāmat kyā kahūñ

    dīd-e-jānāñ yād-e-jānāñ fikr-e-dost

    hai ye har 'ālam 'ibādat kyā kahūñ

    rah-ravī rah-ravī aur kuchh nahīñ

    manzil-e-jānāñ hālat kyā kahūñ

    jaam ke badle milā.ī hai nazar

    aaj saaqī 'ināyat kyā kahūñ

    vo mujhe ḳhushiyāñ 'atā karte haiñ kyuuñ

    mujh ko hai ġham zarūrat kyā kahūñ

    mujh se haiñ 'bahzād' vo ḳhvāhān-e-dil

    maiñ huuñ pāband-e-muravvat kyā kahūñ

    ek jahan hai mahw-e-hairat kya kahun

    apni rudad-e-mohabbat kya kahun

    mera har aansu hai mera raaz-e-dil

    ab mein in ashkon ki qismat kya kahun

    KHud samajh lenge wo mera haal-e-dil

    apna arman apni hasrat kya kahun

    aa gae wo ruKH se sarkae naqab

    ho gai turfa qayamat kya kahun

    did-e-jaanan yaad-e-jaanan fikr-e-dost

    hai ye har 'alam 'ibaadat kya kahun

    rah-rawi hi rah-rawi aur kuchh nahin

    manzil-e-jaanan ki haalat kya kahun

    jam ke badle milai hai nazar

    aaj saqi ki 'inayat kya kahun

    wo mujhe KHushiyan 'ata karte hain kyun

    mujh ko hai gham ki zarurat kya kahun

    mujh se hain 'bahzad' wo KHwahan-e-dil

    main hun paband-e-murawwat kya kahun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now