Font by Mehr Nastaliq Web

gham mein bhi muskura raha hun main

Behzad Lakhnavi

gham mein bhi muskura raha hun main

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ġham meñ bhī muskurā rahā huuñ maiñ

    apnā 'ālam dikhā rahā huuñ maiñ

    hichkiyo jab koī nahīñ merā

    phir kise yaad aa rahā huuñ maiñ

    us se mujh ko nahīñ vafā ummīd

    jis ko apnā banā rahā huuñ maiñ

    rakh rahā huuñ binā nasheman

    bijliyoñ ko bulā rahā huuñ maiñ

    ashk-e-ġham saath kyuuñ nahīñ dete

    der se muskurā rahā huuñ maiñ

    allāh allāh merī mastī-e-shauq

    be-piye Dagmagā rahā huuñ maiñ

    ashk bahte haiñ kuchh nahīñ kahtā

    yuuñ fasāna sunā rahā huuñ maiñ

    ho jalā.īñ thiiñ shām-e-furqat meñ

    vahī sham.eñ bujhā rahā huuñ maiñ

    yaad aatā jaatā hai 'bahzād'

    vahī jis ko bhulā rahā huuñ maiñ

    gham mein bhi muskura raha hun main

    apna 'alam dikha raha hun main

    hichkiyo jab koi nahin mera

    phir kise yaad aa raha hun main

    us se mujh ko nahin wafa ki ummid

    jis ko apna bana raha hun main

    rakh raha hun bina nasheman ki

    bijliyon ko bula raha hun main

    ashk-e-gham sath kyun nahin dete

    der se muskura raha hun main

    allah allah meri masti-e-shauq

    be-piye Dagmaga raha hun main

    ashk bahte hain kuchh nahin kahta

    yun fasana suna raha hun main

    ho jalain thin sham-e-furqat mein

    wahi shamen bujha raha hun main

    yaad aata hi jata hai 'bahzad'

    wahi jis ko bhula raha hun main

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now