Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki

Behzad Lakhnavi

lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    lab pe hai fariyād ashkoñ ravānī ho chukī

    ik kahānī chhiḌ rahī hai ik kahānī ho chukī

    mehar ke parde meñ puurī dil-sitānī ho chukī

    banda-parvar rahm kījiye mehrbānī ho chukī

    merā dil taakā gayā jaur-o-jafā ke vāste

    jab ki puure rañg par un javānī ho chukī

    jā.iye bhī kyuuñ mujhe jhūTī tashaffī dījiye

    aap se aur mere dil tarjumānī ho chukī

    aa gayā ai sunñe vaale ab mujhe pās-e-vafā

    ab bayāñ rūdād-e-dil merī zabānī ho chukī

    āḳhirī aañsū mirī chashm-e-alam se gir chukā

    sunñe vaalo ḳhatm ab merī kahānī ho chukī

    ham bhī tañg aa ga.e āḳhir niyāz-o-nāz se

    haañ ḳhushā-qismat ki un mehrbānī ho chukī

    sunñe vaale sūrat-e-tasvīr baiThe haiñ tamām

    hazrat-e-'bahzād' bas jādū-bayānī ho chukī

    lab pe hai fariyaad ashkon ki rawani ho chuki

    ek kahani chhiD rahi hai ek kahani ho chuki

    mehar ke parde mein puri dil-sitani ho chuki

    banda-parwar rahm kijiye mehrbani ho chuki

    mera dil taka gaya jaur-o-jafa ke waste

    jab ki pure rang par un ki jawani ho chuki

    jaiye bhi kyun mujhe jhuTi tashaffi dijiye

    aap se aur mere dil ki tarjumani ho chuki

    aa gaya ai sunne wale ab mujhe pas-e-wafa

    ab bayan rudad-e-dil meri zabani ho chuki

    aaKHiri aansu meri chashm-e-alam se gir chuka

    sunne walo KHatm ab meri kahani ho chuki

    hum bhi tang aa hi gae aaKHir niyaz-o-naz se

    han KHusha-qismat ki un ki mehrbani ho chuki

    sunne wale surat-e-taswir baiThe hain tamam

    hazrat-e-'bahzad' bas jadu-bayani ho chuki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now