Font by Mehr Nastaliq Web

un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-arman ho chala

Behzad Lakhnavi

un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-arman ho chala

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    un ke nāzuk dil ko bhī ehsās-e-armāñ ho chalā

    rafta-rafta un 'ālam bhī pareshāñ ho chalā

    bahkī-bahkī nazar hai sahmī-sahmī nigāh

    sunte-sunte haal merā ġham numāyāñ ho chalā

    naaz meñ āñkhoñ se paiham ashk jaarī ho ga.e

    mauj-e-ashk-e-alam bhī mauj-e-tūfāñ ho chalā

    aur aañsū aañkh se paiham gire msatānā-vār

    ek ashk-e-nā-murādī zeb-e-mizhgāñ ho chalā

    fasl-e-gul ai fasl-e-gul haañ terī qurbān jā.iye

    ab mujhe ehsās-e-dāmān-e-girebāñ ho chalā

    phir vahī zulfeñ usī chehre pe aakar chhā ga.iiñ

    phir vahī 'ālam murād-e-dīn-o-īmāñ ho chalā

    ab sukūñ paane lagā dil iztirāb-e-shauq se

    yā'nī ik qaidī-e-ġham mānūs-e-zindāñ ho chalā

    us nigāh-e-nāz ne baḳhshā thā jo roz-e-azal

    rafta-rafta vo sharāra mehr-e-tābāñ ho chalā

    haaye ai 'bahzād' apne dil 'ālam kyā kahūñ

    gulistāñ ban chalā thā bayābāñ ho chalā

    un ke nazuk dil ko bhi ehsas-e-arman ho chala

    rafta-rafta un ka 'alam bhi pareshan ho chala

    bahki-bahki si nazar hai sahmi-sahmi si nigah

    sunte-sunte haal mera gham numayan ho chala

    naz mein aankhon se paiham ashk jari ho gae

    mauj-e-ashk-e-alam bhi mauj-e-tufan ho chala

    aur aansu aankh se paiham gire msatana-war

    ek ashk-e-na-muradi zeb-e-mizhgan ho chala

    fasl-e-gul ai fasl-e-gul han teri qurban jaiye

    ab mujhe ehsas-e-daman-e-gireban ho chala

    phir wahi zulfen usi chehre pe aakar chha gain

    phir wahi 'alam murad-e-din-o-iman ho chala

    ab sukun pane laga dil iztirab-e-shauq se

    ya'ni ek qaidi-e-gham manus-e-zindan ho chala

    us nigah-e-naz ne baKHsha tha jo roz-e-azal

    rafta-rafta wo sharara mehr-e-taban ho chala

    haye ai 'bahzad' apne dil ka 'alam kya kahun

    ya gulistan ban chala tha ya bayaban ho chala

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now