Font by Mehr Nastaliq Web

hayat hai to magar wo hayat kyun na rahi

Behzad Lakhnavi

hayat hai to magar wo hayat kyun na rahi

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    hayāt hai to magar vo hayāt kyuuñ na rahī

    vo kaif-e-zīst vo 'ālam vo baat kyuuñ na rahī

    taḌap rahā huuñ hazāroñ ġhamoñ ke saa.e meñ

    vo chashm hāmil-e-sad-iltifāt kyuuñ na rahī

    vo raat jis ko mohabbat raat kahte haiñ

    mire jahāñ meñ vahī ek raat kyuuñ na rahī

    dil-e-ḳharāb ko māyūsiyoñ ne luuT liyā

    vo hasrat-e-karam-e-vāqi’āt kyuuñ na rahī

    shurūa 'ishq-o-mohabbat daur are tauba

    vahī jahān vahī kā.ināt kyuuñ na rahī

    batā batā merī kashtī ke nā-ḳhudā ye batā

    sukūñ lahar pas-e-vāqi’āt kyuuñ na rahī

    hazār chāñd bhī tābāñ hai aur sitāre bhī

    magar maiñ soch rahā huuñ ki raat kyuuñ na rahī

    ye ġham hai ab ki ġham-e-'ishq dil se duur huā

    sahr ke bhes meñ shām-e-nijāt kyuuñ na rahī

    baḌhā na dāman-e-rañgīn-e-dost ai 'bahzād'

    hazār haif un ashkoñ baat kyuuñ na rahī

    hayat hai to magar wo hayat kyun na rahi

    wo kaif-e-zist wo 'alam wo baat kyun na rahi

    taDap raha hun hazaron ghamon ke sae mein

    wo chashm hamil-e-sad-iltifat kyun na rahi

    wo raat jis ko mohabbat ki raat kahte hain

    mere jahan mein wahi ek raat kyun na rahi

    dil-e-KHarab ko mayusiyon ne luT liya

    wo hasrat-e-karam-e-waqi’at kyun na rahi

    shurua 'ishq-o-mohabbat ka daur are tauba

    wahi jahan wahi kainat kyun na rahi

    bata bata meri kashti ke na-KHuda ye bata

    sukun ki lahar pas-e-waqi’at kyun na rahi

    hazar chand bhi taban hai aur sitare bhi

    magar main soch raha hun ki raat kyun na rahi

    ye gham hai ab ki gham-e-'ishq dil se dur hua

    sahr ke bhes mein sham-e-nijat kyun na rahi

    baDha na daman-e-rangin-e-dost ai 'bahzad'

    hazar haif un ashkon ki baat kyun na rahi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now