Font by Mehr Nastaliq Web

koi ba-sad ghurur-o-naz jalwa-numa hua to kya

Behzad Lakhnavi

koi ba-sad ghurur-o-naz jalwa-numa hua to kya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    koī ba-sad ġhurūr-o-nāz jalva-numā huā to kyā

    chashm-e-murād-mañd ko mil gayā mudda.ā to kiyā

    mere niyāz-e-shauq mere gudāz-e-'ishq

    kuchh nahīñ ibtidā to kyā kuchh nahīñ intihā to kyā

    merā fasāna-e-alam 'arz se be-niyāz hai

    maiñ ne nahīñ kahā to kyā ne nahīñ sunā to kyā

    sāqī-e-gul-’ezār mast nigāh-e-yād hai

    be-piye ham to mast haiñ aa gayā mai-kada to kyā

    merī nigāh-e-'ishq taab na sakā koī

    haaye hujūm-e-bekasī ye bhī jo ho gayā to kyā

    rah-rau-o-rāh-e-’shauq ko rāh-ravī se kaam hai

    bhuul gayā to kyā huā mil gayā rāsta to kyā

    larza-kunāñ hai kā.ināt ġham hai hayāt aur mamāt

    apnā jab pata nahīñ terā pata milā to kyā

    kufr bhī tum ho diiñ bhī tum 'arsh bhī tum zamīñ bhī tum

    tum ne jab bhulā diyā bhuul gayā ḳhudā to kyā

    merī murād kuchh nahīñ bhūlā huuñ yaad kuchh nahīñ

    merī murād-e-qalb ko tum ne samajh liyā to kyā

    koi ba-sad ghurur-o-naz jalwa-numa hua to kya

    chashm-e-murad-mand ko mil gaya muddaa to kiya

    mere niyaz-e-shauq ki mere gudaz-e-'ishq ki

    kuchh nahin ibtida to kya kuchh nahin intiha to kya

    mera fasana-e-alam 'arz se be-niyaz hai

    main ne nahin kaha to kya tu ne nahin suna to kya

    saqi-e-gul-’ezar ki mast nigah-e-yaad hai

    be-piye hum to mast hain aa gaya mai-kada to kya

    meri nigah-e-'ishq ki tab na la saka koi

    haye hujum-e-bekasi ye bhi jo ho gaya to kya

    rah-rau-o-rah-e-’shauq ko rah-rawi se kaam hai

    bhul gaya to kya hua mil gaya rasta to kya

    larza-kunan hai kainat gham hai hayat aur mamat

    apna hi jab pata nahin tera pata mila to kya

    kufr bhi tum ho din bhi tum 'arsh bhi tum zamin bhi tum

    tum ne hi jab bhula diya bhul gaya KHuda to kya

    meri murad kuchh nahin bhula hun yaad kuchh nahin

    meri murad-e-qalb ko tum ne samajh liya to kya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now