Font by Mehr Nastaliq Web

husn ki zid se ghamon ko jawedan karna paDa

Behzad Lakhnavi

husn ki zid se ghamon ko jawedan karna paDa

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    husn zid se ġhamoñ ko jāvedāñ karnā paḌā

    apne 'ālam ko bahār-e-be-ḳhizāñ karnā paḌā

    mai-kade meñ ehtirām-e-mai-kashāñ karnā paḌā

    dil jahāñ jhūmā thā ik sajda vahāñ karnā paḌā

    terī ḳhātir ye nigāh-e-dil-sitāñ karnā paḌā

    kHaar ġhunchoñ ko bahāroñ ko ḳhizāñ karnā paḌā

    apnī had se baḌh chalā jab kuchh niyāz-e-bandagī

    ek sajda be-qiyām-e-āstāñ karnā paḌā

    un andāz-e-taḳhātub ke tasadduq jā.iye

    apne ashkoñ ko bhī zeb-e-dāstāñ karnā paḌā

    jab gul-o-bulbul meñ kuchh thoḌī chashmak ho chalī

    patta-patta ko chaman ke ham-zabāñ karnā paḌā

    merī ḳhāmoshī ko jab tarz-e-kalām aane lagā

    un mahfil meñ zabāñ ko be-zabāñ karnā paḌā

    fasl-e-gul meñ ye ḳhayāl aatā hai aksar bār-bār

    apne dāman ko ḳhud kyuuñ dhajjiyāñ karnā paḌā

    'ishq e'jāz ai 'bahzād' muztar kyā kahūñ

    beshtar mujh ko zamīñ āsmāñ karnā paḌā

    husn ki zid se ghamon ko jawedan karna paDa

    apne 'alam ko bahaar-e-be-KHizan karna paDa

    mai-kade mein ehtiram-e-mai-kashan karna paDa

    dil jahan jhuma tha ek sajda wahan karna paDa

    teri KHatir ye nigah-e-dil-sitan karna paDa

    kHar ghunchon ko bahaaron ko KHizan karna paDa

    apni had se baDh chala jab kuchh niyaz-e-bandagi

    ek sajda be-qiyam-e-astan karna paDa

    un ka andaz-e-taKHatub ke tasadduq jaiye

    apne ashkon ko bhi zeb-e-dastan karna paDa

    jab gul-o-bulbul mein kuchh thoDi si chashmak ho chali

    patta-patta ko chaman ke ham-zaban karna paDa

    meri KHamoshi ko jab tarz-e-kalam aane laga

    un ki mahfil mein zaban ko be-zaban karna paDa

    fasl-e-gul mein ye KHayal aata hai aksar bar-bar

    apne hi daman ko KHud kyun dhajjiyan karna paDa

    'ishq ka e'jaz ai 'bahzad' muztar kya kahun

    beshtar mujh ko zamin ka aasman karna paDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now