Font by Mehr Nastaliq Web

yar se chhuTe zamana ho gaya

Behzad Lakhnavi

yar se chhuTe zamana ho gaya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    yaar se chhūTe zamāna ho gayā

    ab to har 'ālam fasāna ho gayā

    ham sukūñ ke naam se vāqif nahīñ

    muddateñ guzrīñ zamāna ho gayā

    lafz-e-uf lab par merī naala rahā

    lab pe bulbul ke tarāna ho gayā

    ab nahīñ siine meñ koī dāġh-e-'ishq

    gul merā fānūs-e-ḳhāna ho gayā

    āfrīñ ai shiddat-e-dard-e-jigar

    un se milne bahāna ho gayā

    kyā use kahte haiñ e’jāz-e-bayāñ

    lafz jo niklā fasāna ho gayā

    hai yahī 'bahzād' me'arāj-e-hayāt

    ek begāna yagāna ho gayā

    yar se chhuTe zamana ho gaya

    ab to har 'alam fasana ho gaya

    hum sukun ke nam se waqif nahin

    muddaten guzrin zamana ho gaya

    lafz-e-uf lab par meri nala raha

    lab pe bulbul ke tarana ho gaya

    ab nahin sine mein koi dagh-e-'ishq

    gul mera fanus-e-KHana ho gaya

    aafrin ai shiddat-e-dard-e-jigar

    un se milne ka bahana ho gaya

    kya use kahte hain e’jaz-e-bayan

    lafz jo nikla fasana ho gaya

    hai yahi 'bahzad' me'araj-e-hayat

    ek begana yagana ho gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now