Font by Mehr Nastaliq Web

nai manzilen nae raste nae ham-safar ki talash hai

Behzad Lakhnavi

nai manzilen nae raste nae ham-safar ki talash hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    na.ī manzileñ na.e rāste na.e ham-safar talāsh hai

    kabhī rāhzan kabhī rāh-rau kabhī rāhbar talāsh hai

    jahāñ haal merā zubūñ huā jahāñ qalb-e-zār ḳhuuñ huā

    jahāñ kārvān-e-sukūñ luTā usī rahguzar talāsh hai

    na to dard-e-ġham na to be-ḳhudī na to chashm-e-tar na to bebasī

    merā chāra-gar nahīñ koī mujhe chāra-gar talāsh hai

    yahāñ kaun sāhib-e-hosh hai jise hosh hai vo ḳhamosh hai

    tujhe kyuuñ haqīqat-e-zindagī kisī dīda-var talāsh hai

    vo jo vajh-e-kashf-o-kushūd hai vo jo shān-e-rabb-e-vujūd hai

    vo jo tere ruḳh numūd hai mujhe us sahr talāsh hai

    vo ho sūd-mand ki pur-ziyāñ merā aur sar ye jhuke kahāñ

    tirā sañg-e-dar tirā āstāñ merī 'umr bhar talāsh hai

    ye jo phir rahā huuñ maiñ kū-ba-kū nahīñ hai sukūn justujū

    usī sañg-e-dar hai aarzū usī sañg-e-dar talāsh hai

    nai manzilen nae raste nae ham-safar ki talash hai

    kabhi rahzan kabhi rah-rau kabhi rahbar ki talash hai

    jahan haal mera zubun hua jahan qalb-e-zar ka KHun hua

    jahan karwan-e-sukun luTa usi rahguzar ki talash hai

    na to dard-e-gham na to be-KHudi na to chashm-e-tar na to bebasi

    mera chaara-gar hi nahin koi mujhe chaara-gar ki talash hai

    yahan kaun sahib-e-hosh hai jise hosh hai wo KHamosh hai

    tujhe kyun haqiqat-e-zindagi kisi dida-war ki talash hai

    wo jo wajh-e-kashf-o-kushud hai wo jo shan-e-rabb-e-wujud hai

    wo jo tere ruKH ki numud hai mujhe us sahr ki talash hai

    wo ho sud-mand ki pur-ziyan mera aur sar ye jhuke kahan

    tera sang-e-dar tera aastan meri 'umr bhar ki talash hai

    ye jo phir raha hun main ku-ba-ku nahin hai sukun ki justuju

    usi sang-e-dar ki hai aarzu usi sang-e-dar ki talash hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now