Font by Mehr Nastaliq Web

wo maqam aaKHirash aa gaya ki sabaat-e-hosh mein hum nahin

Behzad Lakhnavi

wo maqam aaKHirash aa gaya ki sabaat-e-hosh mein hum nahin

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    vo maqām āḳhirash aa gayā ki sabāt-e-hosh meñ ham nahīñ

    jo koī mile to ḳhushī nahīñ jo koī chhuTe alam nahīñ

    tirī chashm-e-mast se kaam hai tire chashm-e-mast jaam hai

    hameñ rabt kuchh kHam-o-bāda se tire mai-kade qasam nahīñ

    tirā zikr hai tirā haal hai ġham-e-zindagī ma.aal hai

    mirī dāstān-e-hayāt meñ kahīñ zikr-e-dair-o-haram nahīñ

    ġham-e-bandagī mu'āmala merī ḳhud samajh meñ na aa sakā

    mere dard-e-dil na pochhiye kabhī kam hai aur kabhī kam nahīñ

    tirā dar hai hāsil-e-bandagī tirā dar hai maqsad-e-zindagī

    kisī aur dar se koī ġharaz tire āstāñ qasam nahīñ

    mere lab hoñ kyuuñ gila-āshnā mire dil meñ kyuuñ uThe dard

    ki tirī jafā to jafā nahīñ ki tirā sitam to sitam nahīñ

    maiñ bhaTak rahā huuñ jo raah meñ nahīñ mil rahā hai jo rāsta

    merī rah-ravī ko bhī ġham nahīñ mere rāhbar ko bhī ġham nahīñ

    wo maqam aaKHirash aa gaya ki sabaat-e-hosh mein hum nahin

    jo koi mile to KHushi nahin jo koi chhuTe tu alam nahin

    teri chashm-e-mast se kaam hai tere chashm-e-mast hi jam hai

    hamein rabt kuchh kHam-o-baada se tere mai-kade ki qasam nahin

    tera zikr hai tera haal hai gham-e-zindagi ka maal hai

    meri dastan-e-hayat mein kahin zikr-e-dair-o-haram nahin

    gham-e-bandagi ka mu'amala meri KHud samajh mein na aa saka

    mere dard-e-dil ki na pochhiye kabhi kam hai aur kabhi kam nahin

    tera dar hai hasil-e-bandagi tera dar hai maqsad-e-zindagi

    kisi aur dar se koi gharaz tere aastan ki qasam nahin

    mere lab hon kyun gila-ashna mere dil mein kyun uThe dard sa

    ki teri jafa to jafa nahin ki tera sitam to sitam nahin

    main bhaTak raha hun jo rah mein nahin mil raha hai jo rasta

    meri rah-rawi ko bhi gham nahin mere rahbar ko bhi gham nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now