Font by Mehr Nastaliq Web

in nigahon ko idhar aane to do

Behzad Lakhnavi

in nigahon ko idhar aane to do

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    in nigāhoñ ko idhar aane to do

    kuchh payām-e-tāza-tar aane to do

    log ā.eñge to chup lag jā.egī

    kah na pā.ūñgā magar aane to do

    ai merī aahū laboñ tak raho

    aa rahā hai be-ḳhabar aane to do

    DabDabāte kyuuñ ho chashm-e-shauq meñ

    āñsūo vo ruḳh nazar aane to do

    dam-ba-dam sajde karūñgā kaif meñ

    rahbaro vo sañg-e-dar aane to do

    ḳhud chale ā.eñge dil thāme hue

    aah meñ rañg-e-asar aane to do

    dekhnā 'bahzād' phir lutf-o-karam

    yaar ke qadmoñ pe sar aane to do

    in nigahon ko idhar aane to do

    kuchh payam-e-taza-tar aane to do

    log aaenge to chup lag jaegi

    kah na paunga magar aane to do

    ai meri aahu labon tak hi raho

    aa raha hai be-KHabar aane to do

    DabDabaate kyun ho chashm-e-shauq mein

    aansuo wo ruKH nazar aane to do

    dam-ba-dam sajde karunga kaif mein

    rahbaro wo sang-e-dar aane to do

    KHud chale aaenge dil thame hue

    aah mein rang-e-asar aane to do

    dekhna 'bahzad' phir lutf-o-karam

    yar ke qadmon pe sar aane to do

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now