honā hī kyā zarūr the ye do-jahāñ haiñ kyuuñ
allāh ik fareb meñ kaun-o-makāñ haiñ kyuuñ
sunte haiñ ek dard to uThtā hai bār-bār
is kī ḳhabar nahīñ hai ki aañsū ravāñ haiñ kyuuñ
in be-niyāziyoñ meñ bhī shān-e-niyāz hai
sajde nahīñ pasand to phir āstāñ haiñ kyuuñ
jis gul-sitāñ meñ roz taḌaptī haiñ bijliyāñ
yā-rab isī chaman meñ ye phir āshiyāñ haiñ kyuuñ
is kā hameñ malāl hai ham kyuuñ badal ga.e
is kā nahīñ malāl ki vo bad-gumāñ haiñ kyuuñ
jab dil nahīñ rahā to tamannā kā kaam kyā
jab kārvāñ nahīñ to pas-e-kārvāñ haiñ kyuuñ
'bahzād' un ke hijr meñ ghabrā rahā hai dil
ab kyā kaheñ kisī se ki bas ḳhānumāñ haiñ kyuuñ
hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun
allah ek fareb mein kaun-o-makan hain kyun
sunte hain ek dard to uThta hai bar-bar
is ki KHabar nahin hai ki aansu rawan hain kyun
in be-niyaziyon mein bhi shan-e-niyaz hai
sajde nahin pasand to phir aastan hain kyun
jis gul-sitan mein roz taDapti hain bijliyan
ya-rab isi chaman mein ye phir aashiyan hain kyun
is ka hamein malal hai hum kyun badal gae
is ka nahin malal ki wo bad-guman hain kyun
jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya
jab karwan nahin to pas-e-karwan hain kyun
'bahzad' un ke hijr mein ghabra raha hai dil
ab kya kahen kisi se ki bas KHanuman hain kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.