Font by Mehr Nastaliq Web

chaarasazon se gham na kam hoga

Behzad Lakhnavi

chaarasazon se gham na kam hoga

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    chārasāzoñ se ġham na kam hogā

    aap aa jaa.eñ to karam hogā

    sitam kar tere sitam ke nisār

    zabt hausla na kam hogā

    maiñ ne pahroñ du'ā.eñ māñgī haiñ

    dard dil kabhī na kam hogā

    tere dar tere āstāñ ke sivā

    aur ye sar kahīñ na ḳham hogā

    merī rusvā.iyoñ ḳhauf na kar

    naam terā terī qasam hogā

    ham bane haiñ vafā.eñ karne ko

    sitam kar terā karam hogā

    hogā 'bahzād' mere she'r meñ kyā

    bas mirā mājrā-e-ġham hogā

    chaarasazon se gham na kam hoga

    aap aa jaen to karam hoga

    tu sitam kar tere sitam ke nisar

    zabt ka hausla na kam hoga

    main ne pahron du'aen mangi hain

    dard dil ka kabhi na kam hoga

    tere dar tere aastan ke siwa

    aur ye sar kahin na KHam hoga

    meri ruswaiyon ka KHauf na kar

    nam tera teri qasam hoga

    hum bane hain wafaen karne ko

    tu sitam kar tera karam hoga

    hoga 'bahzad' mere she'r mein kya

    bas mera majra-e-gham hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now