Font by Mehr Nastaliq Web

mujhko teri talash thi apna magar nishan mila

Behzad Lakhnavi

mujhko teri talash thi apna magar nishan mila

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    mujh ko tirī talāsh thī apnā magar nishāñ milā

    dasht ko rahā thā meñ raah meñ gulistāñ milā

    mast hai daur-e-bandagī jhuum rahe zindagī

    ik tirā dar ye kyā milā kā’ba-e-do-jahāñ milā

    rāh-e-talab meñ kho gayā maiñ to ye haal dekh kar

    thā mīr-e-kārvāñ jo koī kārvāñ milā

    tujh ko bhī liyā to kyā dard bhī liyā to kyā

    kahte haiñ sab jise sukūñ mujh ko magar kahāñ milā

    mā.il-e-kufr ho ke bhī bach na sakī jabīn-e-shauq

    phir vahī sañg-e-dar milā phir vahī āstāñ milā

    ḳhuub intizām-e-shauq ek nahīñ maqām-e-shauq

    raaz se be-ḳhabar milā jo koī rāz-dāñ milā

    rāhbaroñ se chal sakā kaam na rāh-e-shauq meñ

    samjhe the jis ko rāhzan ik vahī mehrbāñ milā

    mujh ko teri talash thi apna magar nishan mila

    dasht ko ja raha tha mein rah mein gulistan mila

    mast hai daur-e-bandagi jhum rahe zindagi

    ek tera dar ye kya mila ka’ba-e-do-jahan mila

    rah-e-talab mein kho gaya main to ye haal dekh kar

    tu hi tha mir-e-karwan jo koi karwan mila

    tujh ko bhi pa liya to kya dard bhi ja liya to kya

    kahte hain sab jise sukun mujh ko magar kahan mila

    mail-e-kufr ho ke bhi bach na saki jabin-e-shauq

    phir wahi sang-e-dar mila phir wahi aastan mila

    KHub intizam-e-shauq ek nahin maqam-e-shauq

    raaz se be-KHabar mila jo koi raaz-dan mila

    rahbaron se chal saka kaam na rah-e-shauq mein

    samjhe the jis ko rahzan ek wahi mehrban mila

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now