masrūr bhī huuñ ḳhush bhī huuñ lekin ḳhushī nahīñ
tere baġhair ziist to hai zindagī nahīñ
maiñ dard-e-'āshiqī ko samajhtā huuñ jān-o-rūh
kam-baḳht vo bhī dil meñ kabhī hai kabhī nahīñ
lā ġham hī Daal de mire dast-e-savāl meñ
maiñ kyā karūñ ḳhushī ko jo terī ḳhushī nahīñ
kuchh der aur rahne de ḳhuddārī-e-junūñ
dāman to chaak honā hai lekin abhī nahīñ
saaqī nigāh-e-nāz se lillāh kaam le
sau jaam pī chukā huuñ magar be-ḳhudī nahīñ
rakhnā paḌegī tum ko tahī-dāmanī kī laaj
mujh ko kamī zarūr hai tum ko kamī nahīñ
'bahzād' saaf saaf maiñ kahtā huuñ hāl-e-dil
sharminda-e-kamāl mirī shā.irī nahīñ
masrur bhi hun KHush bhi hun lekin KHushi nahin
tere baghair zist to hai zindagi nahin
main dard-e-'ashiqi ko samajhta hun jaan-o-ruh
kam-baKHt wo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin
la gham hi Dal de mere dast-e-sawal mein
main kya karun KHushi ko jo teri KHushi nahin
kuchh der aur rahne de KHuddari-e-junun
daman to chaak hona hai lekin abhi nahin
saqi nigah-e-naz se lillah kaam le
sau jam pi chuka hun magar be-KHudi nahin
rakhna paDegi tum ko tahi-damani ki laj
mujh ko kami zarur hai tum ko kami nahin
'bahzad' saf saf main kahta hun haal-e-dil
sharminda-e-kamal meri shairi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.