Font by Mehr Nastaliq Web

ye kaun aa raha hai idhar muskuraata

Behzad Lakhnavi

ye kaun aa raha hai idhar muskuraata

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ye kaun aa rahā hai idhar muskurātā

    jahān-e-tamannā meñ halchal machātā

    nigāhoñ meñ mastī qadam bahke-bahke

    charāġh-e-mohabbat jalātā bujhātā

    hijāboñ meñ Duubī huī be-hijābī

    merī zindagī ko tamāshā banātā

    nigāheñ payāmī adā.eñ salāmī

    do 'ālam manzar nazar ko dikhātā

    mubārak ho merī jabīn-e-vafā ko

    har ik gaam par ek kā'ba banātā

    fazā se barasne lagī haiñ bahāreñ

    guloñ ko tarīq-e-tabassum sikhātā

    do 'ālam ko sairāb kar dene vaalā

    sharāb-e-mohabbat pilātā bahātā

    kabhī mehr-e-kāmil kabhī qahr-e-kāmil

    kabhī ruḳh dikhātā kabhī ruḳh chhupātā

    shabāb mukammal nigār sarāpā

    nigāhoñ se bachtā qazāon pe chhātā

    ba-īñ zulf-e-mushkīñ ba-īñ rū-e-anvar

    nigāhoñ be-chainiyoñ ko lubhātā

    nigāheñ jhukā.e do 'ālam pe chhā.e

    kabhī mujh ko khotā kabhī mujh ko paatā

    vo raftār jaise ki bād-e-bahār

    banātā miTātā miTātā banātā

    fazā.eñ mo'attar huī rahī haiñ

    havāoñ ko bhī nik.hatoñ se basātā

    ba-har taur-e-kāmil ba-har rañg-e-qātil

    jise qatl karatā usī ko jalātā

    ḳhabar nahīñ mujh ko 'bahzād' apnī

    ye kaun aa gayā hosh mere uḌātā

    ye kaun aa raha hai idhar muskuraata

    jahan-e-tamanna mein halchal machata

    nigahon mein masti qadam bahke-bahke

    charagh-e-mohabbat jalata bujhata

    hijabon mein Dubi hui be-hijabi

    meri zindagi ko tamasha banata

    nigahen payami adaen salami

    do 'alam ka manzar nazar ko dikhata

    mubarak ho meri jabin-e-wafa ko

    har ek gam par ek ka'ba banata

    faza se barasne lagi hain bahaaren

    gulon ko tariq-e-tabassum sikhata

    do 'alam ko sairab kar dene wala

    sharab-e-mohabbat pilata bahata

    kabhi mehr-e-kaamil kabhi qahr-e-kaamil

    kabhi ruKH dikhata kabhi ruKH chhupata

    shabab mukammal nigar sarapa

    nigahon se bachta qazaon pe chhata

    ba-in zulf-e-mushkin ba-in ru-e-anwar

    nigahon ki be-chainiyon ko lubhata

    nigahen jhukae do 'alam pe chhae

    kabhi mujh ko khota kabhi mujh ko pata

    wo raftar jaise ki baad-e-bahaar

    banata miTata miTata banata

    fazaen mo'attar hui ja rahi hain

    hawaon ko bhi nikhaton se basata

    ba-har taur-e-kaamil ba-har rang-e-qatil

    jise qatl karata usi ko jalata

    KHabar hi nahin mujh ko 'bahzad' apni

    ye kaun aa gaya hosh mere uData

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now