Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

baiThe biThae haye ye kya ho gaya mujhe

Behzad Lakhnavi

baiThe biThae haye ye kya ho gaya mujhe

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    baiThe biThā.e haaye ye kyā ho gayā mujhe

    apnā nahīñ hai hosh na un pata mujhe

    ab kis tarh milegā bhalā rāsta mujhe

    manzil pe ke bhuul gayā rahnumā mujhe

    ilzām de rahā hai ye jazb-e-vafā mujhe

    karnā na chāhiye thā tumhārā gilā mujhe

    duniyā-o-dīñ hosh na apnā pata mujhe

    saaqī ne bhar ke jaam meñ kyā de diyā mujhe

    kā'be aarzū meñ jhukī thī jabīn-e-shauq

    dene lagā fareb tirā naqsh-e-pā mujhe

    hone lagī jo qalb ko tūfāñ aarzū

    sāhil samt le ke chalā nā-ḳhudā mujhe

    'ālam na kyuuñ nisār ho mere nasīb par

    qismat se mil gayā hai ġham-e-lā-davā mujhe

    ġham meñ haiñ laakh lutf alam meñ hazār kaif

    kyuuñ kar kahūñ ke bhuul gayā hai ḳhudā mujhe

    mujh ko ye fikr hai ki ye 'ālam na duur ho

    duniyā ko fikr hai ki ye kyā ho gayā mujhe

    mushkil na thiiñ firāq ghaḌiyāñ guzārnā

    aksar tire ḳhayāl ne ghabrā diyā mujhe

    duniyā se kuchh alag hai merī rah-ravī rañg

    miltā hai har qadam pe tumhārā pata mujhe

    'bahzād' kyā kare merī ḳhuddārī-e-hayāt

    majbūr kar rahā hai lab-e-mudda’ā mujhe

    baiThe biThae haye ye kya ho gaya mujhe

    apna nahin hai hosh na un ka pata mujhe

    ab kis tarh milega bhala rasta mujhe

    manzil pe la ke bhul gaya rahnuma mujhe

    ilzam de raha hai ye jazb-e-wafa mujhe

    karna na chahiye tha tumhaara gila mujhe

    duniya-o-din ka hosh na apna pata mujhe

    saqi ne bhar ke jam mein kya de diya mujhe

    ka'be ki aarzu mein jhuki thi jabin-e-shauq

    dene laga fareb tera naqsh-e-pa mujhe

    hone lagi jo qalb ko tufan ki aarzu

    sahil ki samt le ke chala na-KHuda mujhe

    'alam na kyun nisar ho mere nasib par

    qismat se mil gaya hai gham-e-la-dawa mujhe

    gham mein hain lakh lutf alam mein hazar kaif

    kyun kar kahun ke bhul gaya hai KHuda mujhe

    mujh ko ye fikr hai ki ye 'alam na dur ho

    duniya ko fikr hai ki ye kya ho gaya mujhe

    mushkil na thin firaq ki ghaDiyan guzarna

    aksar tere KHayal ne ghabra diya mujhe

    duniya se kuchh alag hai meri rah-rawi ka rang

    milta hai har qadam pe tumhaara pata mujhe

    'bahzad' kya kare meri KHuddari-e-hayat

    majbur kar raha hai lab-e-mudda’a mujhe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now