tire paas tak na pahuñchā vo koī bhī chaal chal kar
jo chalā bahak-bahak kar jo chalā sañbhal-sañbhal kar
jahāñ ashk-e-nā-murādī sar-e-chashm-e-shauq aayā
mire ġham ko daad de dī mirī hasratoñ ne jal kar
mirī ek be-ḳhudī meñ haiñ hazār hosh pinhāñ
tire paas aa rahā huuñ ruḳh-e-zindagī badal kar
liyā dast-e-bāġhbāñ ne nayā imtihāñ chaman kā
kabhī ye kalī masal kar kabhī vo kalī masal kar
ye hai kufr yā ki īmāñ ye hai jahl yā ki 'irfān
terī zaat aa ga.ī hai mirī bandagī meñ Dhal kar
na to kaam aa.e rahbar na to rāste na manzar
vahīñ maiñ ne khaa.ī Thokar maiñ jahāñ chalā sambhal kar
na to vasl meñ huuñ raqsāñ na firāq meñ huuñ giryāñ
mujhe kyā banā diyā hai mirī zindagī badal kar
isī aarzū meñ barsoñ kabhī maiñ ne din guzāre
kabhī mil ga.ī hai manzil mujhe ik qadam hī chal kar
jise hijr kī talab ne sadā nā-murād rakkhā
mire lab pe aa rahī hai vo du'ā machal-machal kar
tirā ġham rahe salāmat shab-e-hijr kaaT lī hai
kabhī āh-e-sard bhar kar kabhī karvaTeñ badal kar
are josh nā-murādī are jazb nā-ummīdī
tujhe kyā milegā zālim merī hasrateñ kuchal kar
tere pas tak na pahuncha wo koi bhi chaal chal kar
jo chala bahak-bahak kar jo chala sanbhal-sanbhal kar
jahan ashk-e-na-muradi sar-e-chashm-e-shauq aaya
mere gham ko dad de di meri hasraton ne jal kar
meri ek be-KHudi mein hain hazar hosh pinhan
tere pas aa raha hun ruKH-e-zindagi badal kar
liya dast-e-baghban ne naya imtihan chaman ka
kabhi ye kali masal kar kabhi wo kali masal kar
ye hai kufr ya ki iman ye hai jahl ya ki 'irfan
teri zat aa gai hai meri bandagi mein Dhal kar
na to kaam aae rahbar na to raste na manzar
wahin main ne khai Thokar main jahan chala sambhal kar
na to wasl mein hun raqsan na firaq mein hun giryan
mujhe kya bana diya hai meri zindagi badal kar
isi aarzu mein barson kabhi main ne din guzare
kabhi mil gai hai manzil mujhe ek qadam hi chal kar
jise hijr ki talab ne sada na-murad rakkha
mere lab pe aa rahi hai wo du'a machal-machal kar
tera gham rahe salamat shab-e-hijr kaT li hai
kabhi aah-e-sard bhar kar kabhi karwaTen badal kar
are josh na-muradi are jazb na-ummidi
tujhe kya milega zalim meri hasraten kuchal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.