Font by Mehr Nastaliq Web

ajab aalam hai meri zindagi ka

Behzad Lakhnavi

ajab aalam hai meri zindagi ka

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    'ajab 'ālam hai merī zindagī

    musalsal daur hai ik bebasī

    kahīñ manzil nazar aatī nahīñ hai

    natīja mil rahā hai rah-ravī

    jidhar dekho udhar nākāmiyāñ haiñ

    ḳhudā hāfiz hamārī zindagī

    nigāh-e-mehr ke qurbān jā.ūñ

    mere ġham ne bhī dekhā muñh ḳhushī

    kisī dar se jabīñ uThtī nahīñ hai

    mazā ab mil rahā hai bandagī

    dil-e-hasrat-zada ḳhuuñ ho chalā hai

    mere ġham ko bhī mauqa' hai ḳhushī

    kisī ko kyā ġharaz dekhe jo 'bahzād'

    ki kis 'ālam meñ hai banda kisī

    'ajab 'alam hai meri zindagi ka

    musalsal daur hai ek bebasi ka

    kahin manzil nazar aati nahin hai

    natija mil raha hai rah-rawi ka

    jidhar dekho udhar nakaamiyan hain

    KHuda hafiz hamari zindagi ka

    nigah-e-mehr ke qurban jaun

    mere gham ne bhi dekha munh KHushi ka

    kisi dar se jabin uThti nahin hai

    maza ab mil raha hai bandagi ka

    dil-e-hasrat-zada KHun ho chala hai

    mere gham ko bhi mauqa' hai KHushi ka

    kisi ko kya gharaz dekhe jo 'bahzad'

    ki kis 'alam mein hai banda kisi ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now