yahī mere liye ik roz ḳhuun ro.eñge
yahī yahī ki jo mujh ko miTā.e jaate haiñ
har ek saañs meñ ab to haiñ ishq ke naġhme
miTā-miTā ke vo ham ko banā.e jaate haiñ
ye rāh-e-ishq kī dushvāriyāñ ma.āz-allāh
vo har qadam pe hameñ āzmā.e jaate haiñ
mire jahāñ meñ juz ranj-o-ġham nahīñ kuchh bhī
vo aaj kyuuñ mirī duniyā meñ aa.e jaate haiñ
hameñ bhī apne taḌapne meñ lutf aatā hai
ḳhudā kā shukr vo ham ko satā.e jaate haiñ
vafā ke rañg meñ Duube hue haiñ ham 'bahzād'
ki dil to rotā hai ham muskurā.e jaate haiñ
yahi mere liye ek roz KHun roenge
yahi yahi ki jo mujh ko miTae jate hain
har ek sans mein ab to hain ishq ke naghme
miTa-miTa ke wo hum ko banae jate hain
ye rah-e-ishq ki dushwariyan maaz-allah
wo har qadam pe hamein aazmae jate hain
mere jahan mein juz ranj-o-gham nahin kuchh bhi
wo aaj kyun meri duniya mein aae jate hain
hamein bhi apne taDapne mein lutf aata hai
KHuda ka shukr wo hum ko satae jate hain
wafa ke rang mein Dube hue hain hum 'bahzad'
ki dil to rota hai hum muskurae jate hain
Source :
- Book : Nagma-e-noor (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.