Font by Mehr Nastaliq Web

gham-e-ashiqi dil ko pyara bahut hai

Behzad Lakhnavi

gham-e-ashiqi dil ko pyara bahut hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ġham-e-'āshiqī dil ko pyārā bahut hai

    usī ġham mujh ko sahārā bahut hai

    are shauq-e-dīd apnī had se na baḌh to

    faqat ik jhalak ik nazārā bahut hai

    jo chāhe to ye dīn-o-duniyā banā de

    mohabbat adnā ishārā bahut hai

    batāo to saaqī se kyuuñ jaam māñgeñ

    hameñ to ye 'ālam hamārā bahut hai

    maiñ kyuuñ jā.ūñ sair-e-bahār-e-chaman ko

    tirī añkhḌiyoñ nazārā bahut hai

    hamārā hai kyā mauj-e-tūfāñ hai ham haiñ

    vo achchhe haiñ jin ko kinārā bahut hai

    ḳhabar bhī hai parda-nashīñ husn terā

    hai pinhāñ to kam āshkārā bahut hai

    uThā.egī sarāb merī bandagī kyā

    haqīqat meñ ehsāñ tumhārā bahut hai

    Duboyā thā jis mauj ne mujh ko 'bahzād'

    usī mauj ne phir ubhārā bahut hai

    gham-e-'ashiqi dil ko pyara bahut hai

    usi gham ka mujh ko sahaara bahut hai

    are shauq-e-did apni had se na baDh to

    faqat ek jhalak ek nazara bahut hai

    jo chahe to ye din-o-duniya bana de

    mohabbat ka adna ishaara bahut hai

    batao to saqi se kyun jam mangen

    hamein to ye 'alam hamara bahut hai

    main kyun jaun sair-e-bahaar-e-chaman ko

    teri ankhDiyon ka nazara bahut hai

    hamara hai kya mauj-e-tufan hai hum hain

    wo achchhe hain jin ko kinara bahut hai

    KHabar bhi hai parda-nashin husn tera

    hai pinhan to kam aashkara bahut hai

    uThaegi sarab meri bandagi kya

    haqiqat mein ehsan tumhaara bahut hai

    Duboya tha jis mauj ne mujh ko 'bahzad'

    usi mauj ne phir ubhaara bahut hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now