banda hua hun jab se main piran-e-pir ka
banda huā huuñ jab se maiñ pīrān-e-pīr kā
maḳhfī khulā hai bhed javānān-e-pīr kā
ummī huuñ mere haal pe hai fazl piir kā
kartā huuñ maiñ muqābla har-dam dabīr kā
achchhe se ḳhush bure se ḳhafā hai ye nafs-e-bad
dekhe koī to hāl-e-zār is sharīr kā
dekhā nazar uThā ke jo sayyād tū ne aaj
naḳhchīr ban gayā mirā dil tere tiir kā
duniyā kī fikr hai na ḳhayālāt-e-dīñ mujhe
hai dil pe iḳhtiyār jo rabb-e-qādīr kā
nāseh kī baat kā nahīñ hotā asar zarā
nasha chaḌā huā hai mujhe ḳhuub piir kā
tū paas thā to hijr thā ab duur hai to vasl
sab se alag hai rañg tire is asiir kā
ham apne rāhbar ko na kyuuñ maan jā.eñge
kholā hai us ne bhed sirāj-e-munīr kā
duniyā ke log kyuuñ na kaheñge 'amīn-e-dīn'
vāris banā huuñ maiñ bhī kisī ik faqīr kā
banda hua hun jab se main piran-e-pir ka
maKHfi khula hai bhed jawanan-e-pir ka
ummi hun mere haal pe hai fazl pir ka
karta hun main muqabla har-dam dabir ka
achchhe se KHush bure se KHafa hai ye nafs-e-bad
dekhe koi to haal-e-zar is sharir ka
dekha nazar uTha ke jo sayyaad tu ne aaj
naKHchir ban gaya mera dil tere tir ka
duniya ki fikr hai na KHayalat-e-din mujhe
hai dil pe iKHtiyar jo rabb-e-qadir ka
naseh ki baat ka nahin hota asar zara
nasha chaDa hua hai mujhe KHub pir ka
tu pas tha to hijr tha ab dur hai to wasl
sab se alag hai rang tere is asir ka
hum apne rahbar ko na kyun man jaenge
khola hai us ne bhed siraj-e-munir ka
duniya ke log kyun na kahenge 'amin-e-din'
waris bana hun main bhi kisi ek faqir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.