barbaad-e-arzu ko diwana kah diya hai
barbād-e-ārzū ko dīvāna kah diyā hai
ik lafz kah ke tum ne afsāna kah diyā hai
the jin ko naaz vo bhī mushkil meñ paḌ ga.e haiñ
sab ko tirī nazar ne begāna kah diyā hai
maiñ nāzish-e-junūñ se dīvāna ho gayā huuñ
jab us ne tañg aakar dīvāna kah diyā hai
āzād-e-do-jahāñ huuñ haañ tum burā na maano
maiñ ne to ek fiqra-e-rindāna kah diyā hai
āñkhoñ ne terī kī hai go rahzanī hī lekin
ḳhātir se terī dil ko nazrāna kah diyā hai
'maikash' hai aur tark-e-jām-o-subū ki āḳhir
āñkhoñ ne terī rāz-e-mai-kHāna kah diyā hai
barbaad-e-arzu ko diwana kah diya hai
ek lafz kah ke tum ne afsana kah diya hai
the jin ko naz wo bhi mushkil mein paD gae hain
sab ko teri nazar ne begana kah diya hai
main nazish-e-junun se diwana ho gaya hun
jab us ne tang aakar diwana kah diya hai
aazad-e-do-jahan hun han tum bura na mano
main ne to ek fiqra-e-rindana kah diya hai
aankhon ne teri ki hai go rahzani hi lekin
KHatir se teri dil ko nazrana kah diya hai
'maikash' hai aur tark-e-jam-o-subu ki aaKHir
aankhon ne teri raaz-e-mai-kHana kah diya hai
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.