rutba koThe kā qad-e-bālā se baalā ho gayā
tuur kī chauTī a'sā-e-dast-e-mūsā ho gayā
baiTh kar rū-e-jahāñ ġhurbat meñ dariyā ho gayā
chaar aañsū jab gire āñkhoñ se chaukā ho gayā
shokHī-e-rañg-e-gul-e-rukHsār us par ḳhatm hai
aks se la.al-e-yaman hiire kā bundā ho gayā
ḳhat nikalte hī mulāqāteñ huiiñ bāham kī tark
merā unkā hukm hākim se muchalka ho gayā
fil-haqīqat vo parī-rū chaudhvīñ kā chāñd hai
chādar-e-mahtāb-e-partav se dupaTTā ho gayā
khel samjhā kār-o-bār-e-'ālam-e-fānī ko 'barq'
aañkh ko nazzāra-e-hastī-e-tamāshā ho gayā
rutba koThe ka qad-e-baala se baala ho gaya
tur ki chauTi a'sa-e-dast-e-musa ho gaya
baiTh kar ru-e-jahan ghurbat mein dariya ho gaya
chaar aansu jab gire aankhon se chauka ho gaya
shokHi-e-rang-e-gul-e-rukHsar us par KHatm hai
aks se lal-e-yaman hire ka bunda ho gaya
KHat nikalte hi mulaqaten huin baham ki tark
mera unka hukm hakim se muchalka ho gaya
fil-haqiqat wo pari-ru chaudhwin ka chand hai
chadar-e-mahtab-e-partaw se dupaTTa ho gaya
khel samjha kar-o-bar-e-'alam-e-fani ko 'barq'
aankh ko nazzara-e-hasti-e-tamasha ho gaya
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.