Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bayan mein haal-e-pareshan mera kahan aawe

Hazrat Kamal

bayan mein haal-e-pareshan mera kahan aawe

Hazrat Kamal

MORE BYHazrat Kamal

    bayāñ meñ hāl-e-pareshāñ merā kahāñ aave

    yaqīn hai qatra meñ kab bahr-e-be-karāñ aave

    ḳhabar jo is qad-e-dil jo gar vahāñ aave

    misāl-e-āh ḳhud tuubā aur jināñ aave

    ḳhayāl-e-yār ke ta.iiñ dil meñ kab hai gunjā.ish

    ki āftāb falak zarre meñ kahāñ aave

    use hamesha bahār hai jo barg-o-bar na rakhe

    yaqīn ke sarv-e-chaman par kahāñ ḳhizāñ aave

    na ho nishāna kabhī tīr-e-āh us ke

    ki jis pusht do tāġham suuñ jyuuñ kamāñ aave

    unheñ hamesha bahār hai jo mahv-e-hairat haiñ

    kabhī bhī gulshan-e-tasvīr meñ ḳhizā aave

    jo faiz deve sitam-gar ko aap se guzre

    fanā moñ teġh suuñ farsūda ho fashāñ aave

    kare hai johar-e-māshūq jalva āshiq suuñ

    safā-e-teġh ko mumkin hai be fashāñ aave

    khaḌā hai qāfila hairat meñ misl-e-sanñg-nishāñ

    ḳhudā kare ki abhī mīr-e-kārvāñ aave

    bayan mein haal-e-pareshan mera kahan aawe

    yaqin hai qatra mein kab bahr-e-be-karan aawe

    KHabar jo is qad-e-dil jo ki gar wahan aawe

    misal-e-ah ki KHud tuba aur jinan aawe

    KHayal-e-yar ke tain dil mein kab hai gunjaish

    ki aaftab falak zarre mein kahan aawe

    use hamesha bahaar hai jo barg-o-bar na rakhe

    yaqin ke sarw-e-chaman par kahan KHizan aawe

    na ho nishana kabhi tir-e-ah ka us ke

    ki jis ki pusht do tagham sun jyun kaman aawe

    unhen hamesha bahaar hai jo mahw-e-hairat hain

    kabhi bhi gulshan-e-taswir mein KHiza aawe

    jo faiz dewe sitam-gar ko aap se guzre

    fana mon tegh sun farsuda ho fashan aawe

    kare hai johar-e-mashuq jalwa aashiq sun

    safa-e-tegh ko mumkin hai be fashan aawe

    khaDa hai qafila hairat mein misl-e-sanng-nishan

    KHuda kare ki abhi mir-e-karwan aawe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now