be-ruKHi unki har ada mein hai
be-ruḳhī un kī har adā meñ hai
dil ḳhudā jaane kis havā meñ hai
ik jhalak us kī ibtidā meñ hai
āzmā.ish jo intihā meñ hai
zohd meñ hai na ittiqā meñ hai
zindagī mo'tabar vafā meñ hai
qisse auroñ ke sun rahā hai koī
dāstāñ merī iltavā meñ hai
ḳhair yā rab mire nasheman kī
barq-e-betāb phir ghaTā meñ hai
zulf kī chīra-dastiyā to
aadmī panja-e-balā meñ hai
jis taraf chāhe us kā ruḳh phere
naav ab dast-e-nāḳhudā meñ hai
vo ġhurūr-e-jamāl meñ gum haiñ
mudda.ī arz-e-mudda.ā meñ hai
raas aayā na jāma-e-hastī
aadmī tañg-sī qabā meñ hai
aur kuchh ho 'nasīr' meñ ki na ho
sair-chashmī tire gadā meñ hai
be-ruKHi un ki har ada mein hai
dil KHuda jaane kis hawa mein hai
ek jhalak us ki ibtida mein hai
aazmaish jo intiha mein hai
zohd mein hai na ittiqa mein hai
zindagi mo'tabar wafa mein hai
qisse auron ke sun raha hai koi
dastan meri iltawa mein hai
KHair ya rab mere nasheman ki
barq-e-betab phir ghaTa mein hai
zulf ki chira-dastiya to
aadmi panja-e-bala mein hai
jis taraf chahe us ka ruKH phere
naw ab dast-e-naKHuda mein hai
wo ghurur-e-jamal mein gum hain
muddai arz-e-muddaa mein hai
ras aaya na jama-e-hasti
aadmi tang-si qaba mein hai
aur kuchh ho 'nasir' mein ki na ho
sair-chashmi tere gada mein hai
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 698)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.