be-sukuni mein sukun-e-qalb hai hasil mujhe
Interesting Fact
(زمانہ، کانپور)
be-sukūnī meñ sukūn-e-qalb hai hāsil mujhe
iztirāb-e-dil nahīñ hai iztirāb-e-dil mujhe
khīñch luuñ manzil ko maiñ yā khīñch le manzil mujhe
hai bahar-sūrat yaqīn-e-jazba-e-kāmil mujhe
kar diyā hai be-ḳhudī ne aaj is qābil mujhe
apne pahlū meñ liye letī hai ḳhud manzil mujhe
zauq-e-āsānī se mutlaq ho chukā nā-āshnā
ab koī mushkil nazar aatī nahīñ mushkil mujhe
chashm-e-haq-bīñ ho chukī hai shād-kām-e-ārzū
toḌtā hai ab tilism-e-jalva-e-bātil mujhe
merī fitrat to azal hī se thī āzādī-pasand
kyuuñ kisī ne kar diyā pāband-e-āb-o-gil mujhe
marhabā ai iztirāb-e-zauq-e-takmīl-e-talab
le uḌī hai jānib-e-manzil havā-e-dil mujhe
ho chukā huuñ be-niyāz-e-shauq-o-zauq-e-ārzū
ab lubhā saktī nahīñ rañgīnī-e-mahfil mujhe
is nigāh-e-nāz ke pur-kaif-jalvoñ kī qasam
ab kahāñ mumkin sukūn-e-iztirāb-e-dil mujhe
marhabā josh-e-tamannā marhabā zauq-e-nazar
ho ga.ī tam.īz-e-husn-o-ishq meñ mushkil mujhe
mushkilāt-e-rāh haiñ himmat-shikan 'shā.eq' magar
shauq-e-manzil khīñchtā hai jānib-e-manzil mujhe
be-sukuni mein sukun-e-qalb hai hasil mujhe
iztirab-e-dil nahin hai iztirab-e-dil mujhe
khinch lun manzil ko main ya khinch le manzil mujhe
hai bahar-surat yaqin-e-jazba-e-kaamil mujhe
kar diya hai be-KHudi ne aaj is qabil mujhe
apne pahlu mein liye leti hai KHud manzil mujhe
zauq-e-asani se mutlaq ho chuka na-ashna
ab koi mushkil nazar aati nahin mushkil mujhe
chashm-e-haq-bin ho chuki hai shad-kaam-e-arzu
toDta hai ab tilism-e-jalwa-e-baatil mujhe
meri fitrat to azal hi se thi aazadi-pasand
kyun kisi ne kar diya paband-e-ab-o-gil mujhe
marhaba ai iztirab-e-zauq-e-takmil-e-talab
le uDi hai jaanib-e-manzil hawa-e-dil mujhe
ho chuka hun be-niyaz-e-shauq-o-zauq-e-arzu
ab lubha sakti nahin rangini-e-mahfil mujhe
is nigah-e-naz ke pur-kaif-jalwon ki qasam
ab kahan mumkin sukun-e-iztirab-e-dil mujhe
marhaba josh-e-tamanna marhaba zauq-e-nazar
ho gai tamiz-e-husn-o-ishq mein mushkil mujhe
mushkilat-e-rah hain himmat-shikan 'shaeq' magar
shauq-e-manzil khinchta hai jaanib-e-manzil mujhe
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 166)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.